
saba ke hath pile ho gae main saat-e-sarshaar mein lakhon duaen khub-surat aarzuen pesh karta hun saba mamnun hai lekin zaban hai kuchh nahin kahti saba ab roz o shab diwar-o-dar tan par sajati hai ab aanchal chhat ka sar par odhti hai lams-e-farsh-e-marmarin se panw ki tazin karti hai wo kohsaron shagufta wadiyon jharnon chamakte nil-gun aakash ke naghme nahin gati saba ab lala-o-gul ki taraf shayad nahin aati saba shabnam-ada taswir-e-pa-basta dar-e-rauzan mein aawezan hasin nazuk badan raushan munawwar sahilon par ab nahin bahti saba lab kholti hai muskuraati hai saba sargoshiyon mein ab kisi se kuchh nahin kahti