hairan bahut tabish-e-husn-digaran thi tujh lab ki sifat lal-e-badakhshan mein kahan thi phaila kiye dariya-e-mohabbat ke kinare un jhil si aankhon mein koi chiz nihan thi har jashn-e-tarab-nak pe majlis ka asar tha har udte hue bose mein gard-e-gham-e-jaan thi ya arz-e-yaqin par thi bichhi barf ki chadar ya ghere hue phir mujhe duniya-e-guman thi hum bargah-e-wasl ke thukrae hue log ek sohbat-e-ayyam thi so nazr-e-fughan thi hum zabt ke maron ka ajab haal tha 'saqib' jo baat chhupani thi wo chehron se ayan thi