ai meri ham-raqs mujh ko tham le zindagi se bhag kar aaya hun main dar se larza hun kahin aisa na ho raqs-gah ke chor darwaze se aa kar zindagi dhund le mujh ko, nishan pa le mera aur jurm-e-aish karte dekh le! ai meri ham-raqs mujh ko tham le raqs ki ye gardishen ek mubham aasiya ke daur hain kaisi sar-garmi se gham ko raundta jata hun main! ji main kahta hun ke han raqsh-gah mein zindagi ke jhankne se pesh-tar kulfaton ka sang-reza ek bhi rahne na pae! ai meri ham-raqs mujh ko tham le zindagi mere liye ek khunin bhediye se kam nahin ai hasin o ajnabi aurat usi ke dar se main ho raha hun lamha lamha aur bhi tere qarib jaanta hun tu meri jaan bhi nahin tujh se milne ka phir imkan bhi nahin tu meri in aarzuon ki magar tamsil hai jo rahin mujh se gurezan aaj tak! ai meri ham-raqs mujh ko tham le ahd-e-parina ka main insan nahin bandagi se is dar o diwar ki ho chuki hain khwahishen be-soz-o-rang o na-tawan jism se tere lipat sakta to hun zindagi par main jhapat sakta nahin! is liye ab tham le ai hasin o ajnabi aurat mujhe ab tham le!