hazaron KHwahishen aisi ki har KHwahish pe dam nikle

hazaron khwahishen aisi ki har khwahish pe dam nikle
bahut nikle mere arman lekin phir bhi kam nikle
i have a thousand yearnings , each one afflicts me so
many were fulfilled for sure, not enough although
dare kyun mera qatil kya rahega us ki gardan par
wo khun jo chashm-e-tar se umr bhar yun dam-ba-dam nikle
why is my murderer afraid would she have to account
for blood that ceaselessly, from these eyes does flow
nikalna khuld se aadam ka sunte aae hain lekin
bahut be-abru ho kar tere kuche se hum nikle
from eden, of adam's exile, i am familiar, though
greatly humiliated from your street didi have to go
bharam khul jae zalim tere qamat ki daraazi ka
agar is turra-e-pur-pech-o-kham ka pech-o-kham nikle
o cruel one, illusions of your stature all will know
if those devious curls of yours could straighten arow
magar likhwae koi us ko khat to hum se likhwae
hui subh aur ghar se kan par rakh kar qalam nikle
if someone wants to write to her, on me this task bestow
since morning i am roaming with a pen upon my brow
hui is daur mein mansub mujh se baada-ashami
phir aaya wo zamana jo jahan mein jam-e-jam nikle
the rites of drinking at this time with me associate
days are here now again when jamshed's wine does flow
hui jin se tawaqqo khastagi ki dad pane ki
wo hum se bhi ziyaada khasta-e-tegh-e-sitam nikle
for my injuries, from those that, praise i did expect
they too turned out to be wounded, actually more so
mohabbat mein nahin hai farq jine aur marne ka
usi ko dekh kar jite hain jis kafir pe dam nikle
in love there is no difference 'tween life and death do know
the very one for whom i die, life too does bestow
kahan mai-khane ka darwaza 'ghaalib' aur kahan waiz
par itna jaante hain kal wo jata tha ki hum nikle
wherefrom the 'saintly' priest, and where the tavern's door
but as i entered he was leaving, this much i do know

dhamki mein mar gaya jo na bab-e-nabard tha

dhamki mein mar gaya jo na bab-e-nabard tha
ishq-e-nabard-pesha talabgar-e-mard tha
tha zindagi mein marg ka khatka laga hua
udne se pesh-tar bhi mera rang zard tha
talif nuskha-ha-e-wafa kar raha tha main
majmua-e-khayal abhi fard fard tha
dil ta jigar ki sahil-e-dariya-e-khun hai ab
is rahguzar mein jalwa-e-gul aage gard tha
jati hai koi kashmakash andoh-e-ishq ki
dil bhi agar gaya to wahi dil ka dard tha
ahbab chaarasazi-e-wahshat na kar sake
zindan mein bhi khayal bayaban-naward tha
ye lash-e-be-kafan 'asad'-e-khasta-jaan ki hai
haq maghfirat kare ajab aazad mard tha

aashna hote hi us ishq ne mara mujhko

aashna hote hi us ishq ne mara mujh ko
na mila bahr-e-mohabbat ka kinara mujh ko
kyun mere qatl ko talwar barhana ki hai
tegh-e-abru ka to kafi hai ishaara mujh ko
dam-dilase hi mein tala kiye har roz aakhir
sukhe ghat ai gul-e-tar khub utara mujh ko
main yahan muntazir-e-wada raha lekin wo
rah gae aur kahin de ke sahaara mujh ko
aakhir insan hun patthar ka to rakhta nahin dil
ai buto itna satao na khuda-ra mujh ko
apne begane se ab mujh ko shikayat na rahi
dushmani kar ke mere dost ne mara mujh ko

aankh mein pani rakho honTon pe chingari rakho

aankh mein pani rakho honton pe chingari rakho
zinda rahna hai to tarkiben bahut sari rakho
rah ke patthar se badh kar kuchh nahin hain manzilen
raste aawaz dete hain safar jari rakho
ek hi naddi ke hain ye do kinare dosto
dostana zindagi se maut se yari rakho
aate jate pal ye kahte hain hamare kan mein
kuch ka ailan hone ko hai tayyari rakho
ye zaruri hai ki aankhon ka bharam qaem rahe
nind rakho ya na rakho khwab meyari rakho
ye hawaen ud na jaen le ke kaghaz ka badan
dosto mujh par koi patthar zara bhaari rakho
le to aae shairi bazar mein 'rahat' miyan
kya zaruri hai ki lahje ko bhi bazari rakho

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close