zabt-e-giryaAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMQitagira na aankh se aansu fareb-e-qismat par sukun jis se ho wo iztirab paida kar mizha mein rok le aansu ki dil ho aaina sitare tod de aur aaftab paida kar Continue Reading... Share on:
ye mehr hai be-mehri-e-sayyaad ka pardaAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMQitaye mahr hai be-mehri-e-sayyaad ka parda aai na mere kaam meri taza-safiri rakhne laga murjhae hue phul qafas mein shayad ki asiron ko gawara ho asiri Continue Reading... Share on:
waise to zindagi mein kuchh bhi na usne payaAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMQitawaise to zindagi mein kuchh bhi na us ne paya jab dafn ho gaya to shaer ke bhag jage wo sadgi mein un ko do samain samjha bas aathwin ghazal par munkir-nakir bhage Continue Reading... Share on:
through-proper channelAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMQitasuna hai us ki manzuri bahar-surat zaruri hai usi ke hukm se is aarzu ke phul khilte hain hamein agli sadi mein dakhila darkar hai 'anwar' suna hai dakhle ke form america mein milte hain Continue Reading... Share on:
taza KHabarAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMQitajaenge qafile bhi bahar-taur usi taraf aur un ke sath sath lutere bhi jaenge 'anwar' khuda kare ki ye sachchi na ho khabar ikkiswin sadi mein wadere bhi jaenge Continue Reading... Share on:
suna raha hun kisi aur ko katha apniAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMQitasuna raha hun kisi aur ko katha apni khada hua hai koi aur aadmi mere sath wo mujh ko pahle bhi tanha kahan samajhta tha phir us ne meri udasi bhi dekh li mere sath Continue Reading... Share on: