aaj darwaze khule rahne do yaad ki aag dahak utthi hai shayad is raat hamare shohda aa jaen aaj darwaze khule rahne do jaante ho kabhi tanha nahin chalte hain shahid? main ne dariya ke kinare jo pare dekhe hain jo charaghon ki lawen dekhin hain wo lawen bolti thin zinda zabanon ki tarah main ne sarhad pe wo naghmat sune hain ki jinhen kaun gaega shahidon ke siwa? main ne honton pe tabassum ki nai tez chamak dekhi hai nur jis ka tha halawat se sharabor azanon ki tarah! abhi sarhad se main lauta hun abhi, main abhi hanp raha hun mujhe dam lene do raaz wo un ki nigahon mein nazar aaya hai jo hama-gir tha nadida zamanon ki tarah! yaad ki aag dahak utthi hai sab tamannaon ke shahron mein dahak utthi hai aaj darwaze khule rahne do shayad is raat hamare shohda aa jaen! waqt ke panw ulajh jate hain aawaz ki zanjiron se un ki jhankar se khud waqt jhanak uthta hai naghma marta hai kabhi, nala bhi marta hai kabhi? sansanahat kabhi jati hai mohabbat ke bujhe tiron se? main ne dariya ke kinare unhen yun dekha hai main ne jis aan mein dekha hai unhen shayad is raat, is sham hi, darwazon pe dastak denge! shohda itne subuk-pa hain ki jab aaenge na kisi soe parinde ko khabar tak hogi na darakhton se kisi shakh ke girne ki sada gunjegi phadphadahat kisi zambur ki bhi kam hi sunai degi aaj darwaze khule rahne do! abhi sarhad se main lauta hun abhi par jo guzregi us ka hamein gham hi kyun ho? par kya guzregi malum nahin ek shab jis mein pareshani-e-alam se ruhon pe girani tari ruhen sunsan yatim un pe hamesha ki jafaen bhaari bu-e-kafur agar baste gharon se jari be-panah khauf mein ruya-e-shikasta ki fughan utthegi bujhti shamon ka dhuan utthega par jo guzregi malum nahin apne darwaze khule rahne do