
1 siyah ped hain ab aap apni parchhain zamin se ta-mah-o-anjum sukut ke minar jidhar nigah karen ek athah gum-shudgi ek ek kar ke fasurda charaghon ki palken jhapak gain jo khuli hain jhapakne wali hain jhalak raha hai pada chandni ke darpan mein rasile kaif bhare manzaron ka jagta khwab falak pe taron ko pahli jamahiyan aain 2 tamoliyon ki dokanen kahin kahin hain khuli kuchh unghti hui badhti hain shah-rahon par sawariyon ke bade ghungruon ki jhankaren khada hai os mein chup-chap har singar ka ped dulhan ho jaise haya ki sugandh se bojhal ye mauj-e-nur ye bharpur ye khili hui raat ki jaise khilta chala jae ek safed kanwal sipah-e-rus hai ab kitni dur berlin se jaga raha hai koi aadhi raat ka jadu chhalak rahi hai khum-e-ghaib se sharab-e-wajud faza-e-nim-shabi nargis-e-khumar-alud kanwal ki chutkiyon mein band hai nadi ka suhag 3 ye ras ka sej ye sukumar ye sukomal gat nayan kamal ki jhapak kaam-rup ka jadu ye rasmasai palak ki ghani ghani parchhain falak pe bikhre hue chand aur sitaron ki chamakti ungliyon se chhid ke saz fitrat ke tarane jagne wale hain tum bhi jag utho 4 shua-e-mahr ne yun un ko chum chum liya nadi ke bich kumudni ke phul khil utthe na muflisi ho to kitni hasin hai duniya ye jhaen jhaen si rah rah ke ek jhingur ki hina ki tattiyon mein narm sarsarahat si faza ke sine mein khamosh sansanahat si ye kaenat ab ek nind le chuki hogi 5 ye mahw-e-khwab hain rangin machhliyan tah-e-ab ki hauz-e-sehn mein ab in ki chashmaken bhi nahin ye sar-nigun hain sar-e-shakh phul gudhal ke ki jaise be-bujhe angare thande pad jaen ye chandni hai ki umda hua hai ras-sagar ek aadmi hai ki itna dukhi hai duniya mein 6 qarib chand ke mandla rahi hai ek chidiya bhanwar mein nur ke karwat se jaise naw chale ki jaise sina-e-shair mein koi khwab pale wo khwab sanche mein jis ke nai hayat dhale wo khwab jis se purana nizam-e-gham badle kahan se aati hai madmalti lata ki lipat ki jaise saikdon pariyan gulabiyan chhidkaen ki jaise saikdon ban-dewiyon ne jhule par ada-e-khas se ek sath baal khol diye lage hain kan sitaron ke jis ki aahat par is inqalab ki koi khabar nahin aati dil-e-nujum dhadakte hain kan bajte hain 7 ye sans leti hui kaenat ye shab-e-mah ye pur-sukun ye pur-asrar ye udas saman ye narm narm hawaon ke nil-gun jhonke faza ki ot mein mardon ki gungunahat hai ye raat maut ki be-rang muskurahat hai dhuan dhuan se manazir tamam nam-dida khunuk dhundalke ki aankhen bhi nim khwabida sitare hain ki jahan par hai aansuon ka kafan hayat parda-e-shab mein badalti hai pahlu kuchh aur jag utha aadhi raat ka jadu zamana kitna ladai ko rah gaya hoga mere khayal mein ab ek baj raha hoga 8 gulon ne chadar-e-shabnam mein munh lapet liya labon pe so gai kaliyon ki muskurahat bhi zara bhi sumbul-e-turki laten nahin hiltin sukut-e-nim-shabi ki haden nahin miltin ab inqalab mein shayad ziyaada der nahin guzar rahe hain kai karwan dhundalke mein sukut-e-nim-shabi hai unhin ke panw ki chap kuchh aur jag utha aadhi raat ka jadu 9 nai zamin naya aasman nai duniya nae sitare nai gardishen nae din raat zamin se ta-ba-falak intizar ka aalam faza-e-zard mein dhundle ghubar ka aalam hayat maut-numa intishaar ka aalam hai mauj-e-dud ki dhundli faza ki nabzen hain tamam khastagi-o-mandgi ye daur-e-hayat thake thake se ye tare thaki thaki si ye raat ye sard sard ye be-jaan phiki phiki chamak nizam-e-saniya ki maut ka pasina hai khud apne aap mein ye kaenat dub gai khud apni kokh se phir jagmaga ke ubhregi badal ke kechuli jis tarah nag lahrae 10 khunuk fazaon mein raqsan hain chand ki kirnen ki aabginon pe padti hai narm narm phuwar ye mauj-e-ghaflat-e-masum ye khumar-e-badan ye sans nind mein dubi ye aankh madmati ab aao mere kaleje se lag ke so jao ye palken band karo aur mujh mein kho jao