mai-KHana-e-kausar ka sharabi hun mainAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMRubaaimai-khana-e-kausar ka sharabi hun main kya qabr ka khauf bu-turabi hun main kahti hai ye chashm khush rakkho na mujhe ai ahl-e-nazar mardum-e-abi hun main Continue Reading... Share on:
malum ki insan kise kahte hainAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMRubaaimalum ki insan kise kahte hain samjha ki musalman kise kahte hain bahka ke mujhe lae ho mai-khana se ab ye kaho shaitan kise kahte hain Continue Reading... Share on:
iman ka taqaza hai ki KHuddar banoAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMRubaaiiman ka taqaza hai ki khuddar bano zar-daron ki dahliz pe sajda na karo zahrab mile ya rasan-o-dar 'obaid' hargiz kisi qatil ko masiha na kaho Continue Reading... Share on:
aasudgi-e-zat nahin ho saktiAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMRubaaiaasudgi-e-zat nahin ho sakti sairabi-e-jazbaat nahin ho sakti jo itni tunak-maya ho duniya us mein meri guzar-auqat nahin ho sakti Continue Reading... Share on:
zahid ko raT lagi hai sharab-e-tuhur kiAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMSherzahid ko rat lagi hai sharab-e-tuhur ki aaya hai mai-kade mein to sujhi hai dur ki Continue Reading... Share on:
waiz ki aankhen khul gain pite hi saqiyaAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMSherwaiz ki aankhen khul gain pite hi saqiya ye jam-e-mai tha ya koi dariya-e-nur tha Continue Reading... Share on: