lahra ke jhum jhum ke la muskura ke la

lahra ke jhum jhum ke la muskura ke la
phulon ke ras mein chand ki kirnen mila ke la
kahte hain umr-e-rafta kabhi lautti nahin
ja mai-kade se meri jawani utha ke la
saghar-shikan hai shaikh-e-bala-nosh ki nazar
shishe ko zer-e-daman-e-rangin chhupa ke la
kyun ja rahi hai ruth ke rangini-e-bahaar
ja ek martaba use phir warghala ke la
dekhi nahin hai tu ne kabhi zindagi ki lahr
achchha to ja 'adam' ki surahi utha ke la

jhum ke gao! main sharabi hun

jhum ke gao! main sharabi hun
raqs farmao! main sharabi hun
ek sajda! ba-nam-e-mai-khana
dosto aao! main sharabi hun
log kahte hain raat bit chuki
mujh ko samjhao! main sharabi hun
aaj in reshmi ghataon ko
yun na bikhrao! main sharabi hun
hadse roz hote rahte hain
bhul bhi jao! main sharabi hun
mujh pe zahir hai aap ka baatin
munh na khulwao! main sharabi hun

ishq ko be-naqab hona tha

ishq ko be-naqab hona tha
aap apna jawab hona tha
mast-e-jam-e-sharab hona tha
be-khud-e-iztirab hona tha
teri aankhon ka kuchh qusur nahin
han mujhi ko kharab hona tha
aao mil jao muskura ke gale
ho chuka jo itab hona tha
kucha-e-ishq mein nikal aaya
jis ko khana-kharab hona tha
mast-e-jam-e-sharab khak hote
gharq-e-jam-e-sharab hona tha
dil ki jis par hain naqsh-e-ranga-rang
us ko sada kitab hona tha
hum ne nakaamiyon ko dhund liya
aakhirash kaamyab hona tha
hae wo lamha-e-sukun ki jise
mahshar-e-iztirab hona tha
nigah-e-yar khud tadap uthti
shart-e-awwal kharab hona tha
kyun na hota sitam bhi be-payan
karam-e-be-hisab hona tha
kyun nazar hairaton mein dub gai
mauj-e-sad-iztirab hona tha
ho chuka roz-e-awwalin hi 'jigar'
jis ko jitna kharab hona tha

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close