urduShayari By 22 Apr 2024 08:29:44 PMNazmjabin-e-waqt par kaisi shikan hai hum nahin samjhe koi kyun kar harif-e-ilm-o-fan hai hum nahin samjhe kisi bhi shama se be-zar kyun ho koi parwana ye kya is daur ka diwana-pan hai hum nahin samjhe [...] Continue Reading... Share on:
baat karo to lafzon se bhi KHushbu aati haiShayari By 08 Oct 2023 08:16:26 AMSherbaat karo to lafzon se bhi khushbu aati hai lagta hai us ladki ko bhi urdu aati hai Continue Reading... Share on:
sagi bahnon ka jo rishta hai urdu aur hindi meinShayari By 26 Sep 2023 07:56:06 PMShersagi bahnon ka jo rishta hai urdu aur hindi mein kahin duniya ki do zinda zabanon mein nahin milta Continue Reading... Share on:
yaqin manaw ki urdu jo bol sakta haiShayari By 24 Sep 2023 06:50:08 AMSheryaqin manaw ki urdu jo bol sakta hai wo pattharon ka jigar bhi tatol sakta hai Continue Reading... Share on:
sab ki izzat sab se mohabbat urdu bolne wala hunShayari By 07 Apr 2023 12:33:29 AMGhazalsab ki izzat sab se mohabbat urdu bolne wala hun dhima lahja narm tabiat urdu bolne wala hun sab ki zaban se nam tha un ka ye meri pahchan bani fakhr mera hai ek yahi nisbat urdu bolne wala hun [...] Continue Reading... Share on:
khush hotee hai jab sunatee hai bachchon kee kilakanjum_lucknowi21 Feb 2023 03:24:29 PMNazmkhush hotee hai jab sunatee hai bachchon kee kilakaaree maa.shukr hai rab ka rab ne bakhashee hamako aisee pyaaree maa.neend se uth kar mainne dekha itana pyaar khuda ke baad.so jaate hain bachche to karatee hai paharedari maa.doodh kee soorat khoon pilaakar toone mujh ko paala hai. sach kahata hoon mujh se na hogee teree dil aazaaree maa. bhaee bahan sab phool ke jaise kal bhee the aur aaj bhee hain. unake beech nazar aatee hai ik mahakee phulavaaree maa. jisaka beta naalaayak hai, dekha hai in aakhon ne. shahar kee galiyon mein phiratee hai usakee bhaaree maaree maa.hae meree kismat ke lamhe jab phaake se guzare the. mere saath rahee dukh-sukh mein par nahin himmat haaree maa. bete aur bahoo ne anjum usapar kitana julm kiya. kaun sunega kisase bole aakhir ik dukhiyaaree maa. Continue Reading... Share on: