
badan pe jis ke sharafat ka pairahan dekha wo aadmi bhi yahan hum ne bad-chalan dekha kharidne ko jise kam thi daulat-e-duniya kisi kabir ki mutthi mein wo ratan dekha mujhe mila hai wahan apna hi badan zakhmi kahin jo tir se ghayal koi hiran dekha bada na chhota koi farq bas nazar ka hai sabhi pe chalte samay ek sa kafan dekha zaban hai aur bayan aur us ka matlab aur ajib aaj ki duniya ka wyakaran dekha lutere daku bhi apne pe naz karne lage unhonne aaj jo santon ka aacharan dekha jo sadgi hai kuhan mein hamare ai 'niraj' kisi pe aur bhi kya aisa bankpan dekha