hum wafadar hain aur is se ziyaada kya hon

hum wafadar hain aur is se ziyaada kya hon
bas tere yar hain aur is se ziyaada kya hon
ek hi sach ne hamein aisa kiya sar-afraaz
barsar-e-dar hain aur is se ziyaada kya hon
main akela hun meri jaan ke dushman aflak
ek do chaar hain aur is se ziyaada kya hon
nam sunte hi mera aag-bagula ho jaen
mujh se bezar hain aur is se ziyaada kya hon
umr bhar baat pe qaem rahe 'fartash' ki hum
ahl-e-kirdar hain aur is se ziyaada kya hon

agar wo be-adab hai be-adab likh

agar wo be-adab hai be-adab likh
kabhi jo likh nahin paya wo ab likh
tamazat hirs ki had se badhi hai
samundar khud hua hai tishna-lab likh
ana meri zaban khulne na degi
mujhe tu jitna chahe be-talab likh
kamina sari duniya tere aage
magar apna bhi to nam-o-nasab likh
meri qindil-e-jaan jalti hai shab bhar
zara apni bhi to rudad-e-shab likh
'tapish' tere liye meri dua hai
jo haq tu jaanta hai sab ka sab likh

zindagi dard ki kahani hai

zindagi dard ki kahani hai
chashm-e-anjum mein bhi to pani hai
be-niyazana sun liya gham-e-dil
mehrbani hai mehrbani hai
wo bhala meri baat kya mane
us ne apni bhi baat mani hai
shola-e-dil hai ye ki shoala-saz
ya tera shola-e-jawani hai
wo kabhi rang wo kabhi khushbu
gah gul gah raat-rani hai
ban ke masum sab ko tad gai
aankh us ki badi siyani hai
aap-biti kaho ki jag-biti
har kahani meri kahani hai
donon aalam hain jis ke zer-e-nagin
dil usi gham ki rajdhani hai
hum to khush hain teri jafa par bhi
be-sabab teri sargirani hai
sar-ba-sar ye faraaz-e-mahr-o-qamar
teri uthti hui jawani hai
aaj bhi sun rahe hain qissa-e-ishq
go kahani bahut purani hai
zabt kije to dil hai angara
aur agar roiye to pani hai
hai thikana ye dar hi us ka bhi
dil bhi tera hi aastani hai
un se aise mein jo na ho jae
nau-jawani hai nau-jawani hai
dil mera aur ye gham-e-duniya
kya tere gham ki pasbani hai
gardish-e-chashm-e-saqi-e-dauran
daur-e-aflak ki bhi pani hai
ai lab-e-naz kya hain wo asrar
khamushi jin ki tarjumani hai
mai-kadon ke bhi hosh udne lage
kya teri aankh ki jawani hai
khud-kushi par hai aaj aamada
are duniya badi diwani hai
koi izhaar-e-na-khushi bhi nahin
bad-gumani si bad-gumani hai
mujh se kahta tha kal farishta-e-ishq
zindagi hijr ki kahani hai
bahr-e-hasti bhi jis mein kho jae
bund mein bhi wo be-karani hai
mil gae khak mein tere ushshaq
ye bhi ek amr-e-asmani hai
zindagi intizar hai tera
hum ne ek baat aaj jaani hai
kyun na ho gham se hi qimash us ka
husn taswir-e-shadmani hai
suni duniya mein ab to main hun aur
matam-e-ishq-e-an-jahani hai
kuchh na puchho 'firaq' ahd-e-shabab
raat hai nind hai kahani hai

sar se pa tak wo gulabon ka shajar lagta hai

sar se pa tak wo gulabon ka shajar lagta hai
ba-wazu ho ke bhi chhute hue dar lagta hai
main tere sath sitaron se guzar sakta hun
kitna aasan mohabbat ka safar lagta hai
mujh mein rahta hai koi dushman-e-jaani mera
khud se tanhai mein milte hue dar lagta hai
but bhi rakkhe hain namazen bhi ada hoti hain
dil mera dil nahin allah ka ghar lagta hai
zindagi tu ne mujhe qabr se kam di hai zamin
panw phailaun to diwar mein sar lagta hai

hum to bachpan mein bhi akele the

hum to bachpan mein bhi akele the
sirf dil ki gali mein khele the
ek taraf morche the palkon ke
ek taraf aansuon ke rele the
thin saji hasraten dukanon par
zindagi ke ajib mele the
khud-kushi kya dukhon ka hal banti
maut ke apne sau jhamele the
zehn o dil aaj bhuke marte hain
un dinon hum ne faqe jhele the

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close