inkishaf

titliyon ke panw mein phul phul zanjiren
khushbuon ki basti mein khwab khwab tabiren
hai bas ek hi khwahish
rag rang duniya mein
dil ki tang duniya mein
likh sakun kabhi main bhi
raat ke sahife par chandni ki tahriren
aakhiri munajaten
aasman ki baaten
kuchh bhi ho nahin sakta
aaj apni marzi se
tu bhi hans nahin sakta
main bhi ro nahin sakta

har ek sans pe dhaDka ki aaKHiri to nahin

har ek sans pe dhadka ki kahin aakhiri to nahin
mile dobara agar aisi zindagi to nahin
achanak aana tumhaara aur is qadar chahat
kahin ye dost meri aakhiri khushi to nahin
to kyun na tujh se teri guftugu ki jae
tere alawa yahan mera koi bhi to nahin
hum ahl-e-ishq bade waza-dar hote hain
hamari aankh mein dekho kahin nami to nahin
fasilen chatne wale mujhe bataen 'nadim'
kahin zamin pe ye aakhiri sadi to nahin

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close