Dish-antenna

janab-e-shaikh apne waz mein rozana barson se
sunae ja rahe hain ek hi afsana barson se
dish-antenna ke raste roz aati hain mere ghar mein
wo huren jin ke chakkar mein hain ye maulana barson se

KHwab

aankh band hote hi
khwab jag jate hain
khwab nind ka jadu
kaun kaun aata hai!
koi ajnabi chehra
koi jaana pahchana!
koi dilruba ladki
koi dost ki biwi
koi ghair ki aurat!
jism jagmagate hain!
lamha lamha wahshat hai
har gunah afsana
dhadkanon ka nazrana
jab bhi aankh khulti hai
khud se khauf aata hai
tujh se ji churaata hun
khwab ka har ek lamha
mujh ko apni nazron se
jaane kyun giraata hai
kash meri aankhon se
sare khwab dhul jaen

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close