visal-rut ki ye pahli dastak hi sarzanish hai ki hijr-mausam ne raste raste safar ka aaghaz kar diya hai tumhaare hathon ka lams jab bhi meri wafa ki hatheliyon par hina banega to soch lungi rafaqaton ka sunahra suraj ghurub ke imtihan mein hai hamare baghon se gar kabhi titliyon ki khushbu guzar na pae to ye na kahna ki titliyon ne gulab-raste badal liye hain agar koi sham yun bhi aae ki jis mein hum tum lagen parae to jaan lena ki sham be-bas thi shab ki tarikiyon ke hathon tumhaari khwahish ki mutthiyan be-dhiyaniyon mein kabhi khulen to yaqin karna ki meri chahat ke jugnuon ne tumhaare hathon ke lams-e-taza ki khwahishon mein bade ghanere andhere kate magar ye khadshe, ye waswase to takallufan hain jo be-irada safar pe niklen to ye to hota hai ye to hoga hum apne jazbon ko munjamid raeganiyon ke supurd kar ke ye soch lenge ki hijr-emausam to wasl ki pahli sham se hi safar ka aaghaz kar chuka tha