
zamane ke sahra mein galle se bichhdi hui bhed tanha pasheman hirasan hirasan ummid o mohabbat ki ek jot aankhon mein apni jagae har ek rah-rau ki taraf dekhti hai ki in mein hi shayad koi mere galle ka bhi pasban ho magar is bayaban mein shayad sarab aur parchhaiyon ke siwa kuchh nahin hai mujhe kaun sine se apne lagae ki isa to muddat hui aasmanon mein gum ho chuke hain!