Mujh ko rula kar vo bhi roya to hogaAdmin01 Apr 2019 10:00:22 AMJudaaiMujh ko rula kar vo bhi roya to hoga,mooh aansuon se usne bhi dhoya to hoga,agar na kiya hai hasil kuch humne pyar mein,kuch na kuch usne bhi khoya to hoga... Continue Reading... Share on:
Hasi Ke RaaH Me Gum Mile To KyA KreAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMOtherHasi Ke RaaH Me Gum Mile To KyA Kre,Wafa Ke Raah Me BEWAFA MileTO KyA Kre,kese Bachaye ZindgiKo Dhoke BazoSe,koi Muskura K Dhoka DeTo KyA Kre. Continue Reading... Share on:
Dhoka mila jab bhi pyar meinAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMFunnyDhoka mila jab bhi pyar mein,Zindgi mein udasi chaa gayi,Socha tha chhor denge is raah ko,Kambakht phir ek new number se miss call aa gayi. Continue Reading... Share on:
raat ki baatAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMNazmchudiyan bajti hain chhagal ki sada aati hai fart-e-betabi se uth uth ke nazar baith gai tham kar aas har aahat pe jigar baith gai mera gham-khana ibarat raha tariki se mauj-e-mahtab kahan khak-ba-sar baith gai shabnam-alud hua jata hai shab ka daman tare chamke hain ki ab gard-e-safar baith gai bhigti raat naha kar mere ashk-e-khun mein jaane ko utthi hi thi uth ke magar baith gai us ne dekha ki meri rani lajati aai aankhen malti hui fitnon ko jagati aai sar se dhalka hua aanchal shikan-alud libas chhadi aankhon mein machalti hui nindon ki jhalak so gai thi zara khud sab ko sulate shayad nind kachchi thi ki di wade ne dil par dastak chaunk kar utthi to dekha ki sitare ban kar auj-e-aflak pe hai mang ki afshan ki damak shisha-e-mah se chhalak kar mai-e-tund-o-be-dard us ke mathe se chura leti hai sone ki dalak chudiyan hathon mein thame chali haule haule kar de ghammazi mubaada kahin chhagal ki chhanak surkhi tike ki jabin par zara phaili phaili jis tarah jam se kuchh thodi si mai jae chhalak zulfen yun chehre pe bikhri hui mangen thin dil jis tarah ek khilaune pe miten do baalak jis tarah gham-khane pe pahunchi to kuchh aaya jo khayal chudiyan chhod din chhagal bhi hansi chhana-chhanak fikr hai aai to hai nind ki gomati hai chudiyan bajti hain chhagal ki sada aati hai Continue Reading... Share on:
clerk ka naghma-e-mohabbatAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMNazmsab raat meri sapnon mein guzar jati hai aur main sota hun phir subh ki dewi aati hai apne bistar se uthta hun munh dhota hun laya tha kal jo double-roti us mein se aadhi khai thi baqi jo bachi wo mera aaj ka nashta hai duniya ke rang anokhe hain jo mere samne rahta hai us ke ghar mein ghar-wali hai aur daen pahlu mein ek manzil ka hai makan wo khali hai aur baen jaanib ek ayyash hai jis ke han ek dashta hai aur in sab mein ek main bhi hun lekin bas tu hi nahin hain aur to sab aaram mujhe ek gesuon ki khushbu hi nahin farigh hota hun nashte se aur apne ghar se nikalta hun daftar ki rah par chalta hun raste mein shahr ki raunaq hai ek tanga hai do karen hain bachche maktab ko jate hain aur tangon ki kya baat kahun karen to chhichhalti bijli hain tangon ke tiron ko kaise sahun ye mana in mein sharifon ke ghar ki dhan-daulat hai maya hai kuchh shokh bhi hain masum bhi hain lekin raste par paidal mujh se bad-qismat maghmum bhi hain tangon par barq-e-tabassum hai baaton ka mitha tarannum hai uksata hai dhyan ye rah rah kar qudrat ke dil mein tarahhum hai har chiz to hai maujud yahan ek tu hi nahin ek tu hi nahin aur meri aankhon mein rone ki himmat hi nahin aansu hi nahin jun tun rasta kat jata hai aur bandi-khana aata hai chal kaam mein apne dil ko laga yun koi mujhe samjhata hai main dhire dhire daftar mein apne dil ko le jata hun nadan hai dil murakh bachcha ek aur tarah de jata hun phir kaam ka dariya bahta hai aur hosh mujhe kab rahta hai jab aadha din dhal jata hai to ghar se afsar aata hai aur apne kamre mein mujh ko chaprasi se bulwata hai yun kahta hai wun kahta hai lekin bekar hi rahta hai main us ki aisi baaton se thak jata hun thak jata hun pal-bhar ke liye apne kamre ko file lene aata hun aur dil mein aag sulagti hai main bhi jo koi afsar hota is shahr ki dhul aur galiyon se kuchh dur mera phir ghar hota aur tu hoti lekin main to ek munshi hun tu unche ghar ki rani hai ye meri prem-kahani hai aur dharti se bhi purani hai Continue Reading... Share on:
asliyat agar nahin to dhoka hi sahiAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMRubaaiasliyat agar nahin to dhoka hi sahi allah bahut nahin to thoda hi sahi taskin ki aakhir koi surat bhi to ho ruyat mumkin nahin to ruya hi sahi Continue Reading... Share on: