
hua khema-zan karwan-e-bahaar iram ban gaya daman-e-koh-sar gul o nargis o sosan o nastaran shahid-e-azal lala-khunin kafan jahan chhup gaya parda-e-rang mein lahu ki hai gardish rag-e-sang mein faza nili nili hawa mein surur thaharte nahin aashiyan mein tuyur wo ju-e-kohistan uchakti hui atakti lachakti sarakti hui uchhalti phisalti sambhalti hui bade pech kha kar nikalti hui ruke jab to sil chir deti hai ye pahadon ke dil chir deti hai ye zara dekh ai saqi-e-lala-fam sunati hai ye zindagi ka payam pila de mujhe wo mai-e-parda-soz ki aati nahin fasl-e-gul roz roz wo mai jis se raushan zamir-e-hayat wo mai jis se hai masti-e-kaenat wo mai jis mein hai soz-o-saz-e-azal wo mai jis se khulta hai raaz-e-azal utha saqiya parda is raaz se lada de mamule ko shahbaz se zamane ke andaz badle gae naya rag hai saz badle gae hua is tarah fash raaz-e-farang ki hairat mein hai shisha-baz-e-farang purani siyasat-gari khwar hai zamin mir o sultan se be-zar hai gaya daur-e-sarmaya-dar gaya tamasha dikha kar madari gaya giran khwab chini sambhalne lage himala ke chashme ubalne lage dil-e-tur-e-sina-o-faran do-nim tajalli ka phir muntazir hai kalim musalman hai tauhid mein garam-josh magar dil abhi tak hai zunnar-posh tamaddun tasawwuf shariat-e-kalam butan-e-ajam ke pujari tamam haqiqat khurafat mein kho gai ye ummat riwayat mein kho gai lubhata hai dil ko kalam-e-khatib magar lazzat-e-shauq se be-nasib bayan is ka mantiq se suljha hua lughat ke bakhedon mein uljha hua wo sufi ki tha khidmat-e-haq mein mard mohabbat mein yakta hamiyat mein fard ajam ke khayalat mein kho gaya ye salik maqamat mein kho gaya bujhi ishq ki aag andher hai musalman nahin rakh ka dher hai sharab-e-kuhan phir pila saqiya wahi jam gardish mein la saqiya mujhe ishq ke par laga kar uda meri khak jugnu bana kar uda khirad ko ghulami se aazad kar jawanon ko piron ka ustad kar hari shakh-e-millat tere nam se hai nafas is badan mein tere dam se hai tadapne phadakne ki taufiq de dil-e-murtaza soz-e-siddiq de jigar se wahi tir phir par kar tamanna ko sinon mein bedar kar tere aasmanon ke taron ki khair zaminon ke shab zinda-daron ki khair jawanon ko soz-e-jigar bakhsh de mera ishq meri nazar bakhsh de meri naw girdab se par kar ye sabit hai to is ko sayyar kar bta mujh ko asrar-e-marg-o-hayat ki teri nigahon mein hai kaenat mere dida-e-tar ki be-khwabiyan mere dil ki poshida betabiyan mere nala-e-nim-shab ka niyaz meri khalwat o anjuman ka gudaz umangen meri aarzuen meri ummiden meri justujuen meri meri fitrat aaina-e-rozgar ghazalan-e-afkar ka murgh-zar mera dil meri razm-gah-e-hayat gumanon ke lashkar yaqin ka sabaat yahi kuchh hai saqi mata-e-faqir isi se faqiri mein hun main amir mere qafile mein luta de ise luta de thikane laga de ise dama-dam rawan hai yam-e-zindagi har ek shai se paida ram-e-zindagi isi se hui hai badan ki numud ki shole mein poshida hai mauj-e-dud giran garche hai sohbat-e-ab-o-gil khush aai ise mehnat-e-ab-o-gil ye sabit bhi hai aur sayyar bhi anasir ke phandon se be-zar bhi ye wahdat hai kasrat mein har dam asir magar har kahin be-chugon be-nazir ye aalam ye but-khana-e-shash-jihat isi ne tarasha hai ye somnat pasand is ko takrar ki khu nahin ki tu main nahin aur main tu nahin man o tu se hai anjuman-afrin magar ain-e-mahfil mein khalwat-nashin chamak us ki bijli mein tare mein hai ye chandi mein sone mein pare mein hai usi ke bayaban usi ke babul usi ke hain kante usi ke hain phul kahin us ki taqat se kohsar chur kahin us ke phande mein jibrail o hur kahin jaza hai shahin simab rang lahu se chakoron ke aaluda chang kabutar kahin aashiyane se dur phadakta hua jal mein na-subur fareb-e-nazar hai sukun o sabaat tadapta hai har zarra-e-kaenat thaharta nahin karwan-e-wajud ki har lahz hai taza shan-e-wajud samajhta hai tu raaz hai zindagi faqat zuaq-e-parwaz hai zindagi bahut us ne dekhe hain past o buland safar us ko manzil se badh kar pasand safar zindagi ke liye barg o saz safar hai haqiqat hazar hai majaz ulajh kar sulajhne mein lazzat use tadapne phadakne mein rahat use hua jab use samna maut ka kathin tha bada thamna maut ka utar kar jahan-e-makafat mein rahi zindagi maut ki ghat mein mazaq-e-dui se bani zauj zauj uthi dasht o kohsar se fauj fauj gul is shakh se tutte bhi rahe isi shakh se phutte bhi rahe samajhte hain nadan use be-sabaat ubharta hai mit mit ke naqsh-e-hayat badi tez jaulan badi zud-ras azal se abad tak ram-e-yak-nafs zamana ki zanjir-e-ayyam hai damon ke ulat-pher ka nam hai ye mauj-e-nafs kya hai talwar hai khudi kya hai talwar ki dhaar hai khudi kya hai raaz-darun-hayat khudi kya hai bedari-e-kaenat khudi jalwa badmast o khalwat-pasand samundar hai ek bund pani mein band andhere ujale mein hai tabnak man o tu mein paida man o tu se pak azal us ke pichhe abad samne na had us ke pichhe na had samne zamane ke dariya mein bahti hui sitam us ki maujon ke sahti hui tajassus ki rahen badalti hui dama-dam nigahen badalti hui subuk us ke hathon mein sang-e-giran pahad us ki zarbon se reg-e-rawan safar us ka anjam o aaghaz hai yahi us ki taqwim ka raaz hai kiran chand mein hai sharar sang mein ye be-rang hai dub kar rang mein ise wasta kya kam-o-besh se nasheb o faraaz o pas-o-pesh se azal se hai ye kashmakash mein asir hui khak-e-adam mein surat-pazir khudi ka nasheman tere dil mein hai falak jis tarah aankh ke til mein hai khudi ke nigah-ban ko hai zahr-nab wo nan jis se jati rahe us ki aab wahi nan hai us ke liye arjumand rahe jis se duniya mein gardan buland khudi fal-e-mahmud se darguzar khudi par nigah rakh ayazi na kar wahi sajda hai laiq-e-ehtimam ki ho jis se har sajda tujh par haram ye aalam ye hangama-e-rang-o-saut ye aalam ki hai zer-e-farman-e-maut ye aalam ye but-khana-e-chashm-o-gosh jahan zindagi hai faqat khurd o nosh khudi ki ye hai manzil-e-awwalin musafir ye tera nasheman nahin teri aag is khak-dan se nahin jahan tujh se hai tu jahan se nahin badhe ja ye koh-e-giran tod kar tilism-e-zaman-o-makan tod kar khudi sher-e-maula jahan us ka said zamin us ki said aasman us ka said jahan aur bhi hain abhi be-numud ki khali nahin hai zamir-e-wajud har ek muntazir teri yalghaar ka teri shaukhi-e-fikr-o-kirdar ka ye hai maqsad gardish-e-rozgar ki teri khudi tujh pe ho aashkar tu hai fatah-e-alam-e-khub-o-zisht tujhe kya bataun teri sarnawisht haqiqat pe hai jama-e-harf-e-tang haqiqat hai aaina-e-guftar-e-zang farozan hai sine mein sham-e-nafas magar tab-e-guftar rakhti hai bas agar yak-sar-e-mu-e-bartar param farogh-e-tajalli ba-sozad param