
dil si virani mein saya koi mehman to hai apne khwabon se mulaqat ka imkan to hai kuchh na kuchh nazr to karna hai tere jalwe ko aur daulat na sahi koi dil-o-jaan to hai kya milega hamein ab us ki pashemani se bewafai pe koi apni pasheman to hai yun na ho khud se nibhana tumhein mushkil ho jae hum ko nazron se girana bahut aasan to hai qafile walon ko gumrahi ka ehsas hua kam se kam ab kisi anjam ka imkan to hai