dil ki bisat kya thi nigah-e-jamal mein

dil ki bisat kya thi nigah-e-jamal mein
ek aaina tha tut gaya dekh-bhaal mein
duniya kare talash naya jam-e-jam koi
us ki jagah nahin mere jam-e-sifal mein
aazurda is qadar hun sarab-e-khayal se
ji chahta hai tum bhi na aao khayal mein
duniya hai khwab hasil-e-duniya khayal hai
insan khwab dekh raha hai khayal mein
ahl-e-chaman hamein na asiron ka tan den
wo khush hain apne haal mein aham apni chaal mein
'simab' ijtihad hai husn-e-talab mera
tarmim chahta hun mazaq-e-jamal mein

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close