sard silon par zard silon par taza garm lahu ki surat guldaston ke chhinte hain katbe sab be-nam hain lekin har ek phul pe nam likha hai ghafil sone wale ka yaad mein rone wale ka apne farz se farigh ho kar apne lahu ki tan ke chadar sare bete khwab mein hain apne ghamon ka haar piro kar amman akeli jag rahi hai