ISHQ SHAYARI: EXPRESS THE DEPTHS OF PASSION

EXPLORE THE EMOTIONS OF LOVE IN ISHQ SHAYARI

Indulge in the enchanting world of ishq shayari where the essence of love is captured in every verse, reflecting the ardor and beauty of passionate emotions. Let the words paint a vivid picture of love's intensity, longing, and dedication, evoking a sense of profound connection and intimacy. Immerse yourself in the depth and richness of ishq shayari as it unravels the layers of love in all its glory and splendor.

ऐसे तिरे इश्क़ में ख़ुद खो गया हूँ मैं जैसे किसी मेले में गुम हो गया हूँ मैं

-


Khud se pyaar

-


Jo nigah-e-naaz ka bismil nahi

dil nahi wo dil nahi wo dil nahi!



*bismil: wounded

-


Badan ke donon kinaron se jal raha hun main

ki chhu raha hun tujhe aur pighal raha hun main!

-


Aaj van teg-o-kafan bandhe hue jata hun main

uzr mera qatal karne mein wo ab lavenge kya!



*teg-o-kafan: sword and shroud

-


Aap ne tasveer bheji maine dekhi ghaur se

har ada achhi khamoshi ki ada achhi nahi!

-


Koi samjhe to ek baat kahun

ishq taufiq hai gunah nahi!

-


Aur kya dekhne ko baaki hai

aap se dil laga ke dekh liya!

-


Meri koshish ka samar hai mukhtalif

pyaar ka us par asar hai mukhtalif



saari duniya mein nahi us ki misaal

sab se wo rashk-e-qamar hai mukhtalif!



*mukhtalif: different

-


Maang lun tujh se tujhi ko ki sabhi kuch mil jaye

sau sawalon se yahi ek sawal achchha hai!

-


Tumhare shehar ka mausam bada suhana lage

main ek shaam chura loon agar bura na lage!

-


Kaghaz mein dab ke mar gaye keede kitab ke

deewana be-padhe-likhe mashoor ho gaya!

-


Muddat ke baad aaj use dekh kar 'munir'

ek baar dil to dhadka magar phir sambhal geya!

-


Dua karo ki main us ke liye dua ho jaaun

wo ek shakhs jo dil ko dua sa lagta hai!

-


Nazar ke sagar mein utar gaya hai koi

mere dil mein ghar kar gaya hai koi!

-


Wo mila ke nazar is ada se chala

jaise milne kisi apsara se chala!

-


Koi samjhe to ek baat kahun

ishq taufiq hai gunah nahi!

-


Zindagi kavish-e-batil hai mera saath na chhod

tu hi ik umar ka hasil hai mera saath na chhod



log milte hain sar-e-raah guzar jaate hain

tu hi ik hum-safar-e-dil hai mera saath na chhod!

-


Meri koshish ka samar hai mukhtalif

pyaar ka us par asar hai mukhtalif



saari duniya mein nahi us ki misaal

sab se wo rashk-e-qamar hai mukhtalif!



*mukhtalif: different

-


Tumhare shehar ka mausam bada suhana lage

main ek shaam chura loon agar bura na lage!

-


Muddat ke baad aaj use dekh kar 'munir'

ek baar dil to dhadka magar phir sambhal geya!

-


Ujad jaye jo iss duniya ki zidd mein

woh dil abaad rakhna shayari hai



mohabbat hai kisi ka yaad aana

kisi ko yaad rakhna shayari hai!

-


Ishq hai tarz-o-taur ishq ke taeen

kahin banda kahin khuda hai ishq



ishq maashuq ishq aashiq hai

yaani apna hi mubtala hai ishq!

-


Hazar baar jo manga karo to kya hasil

dua wahi hai jo dil se kabhi nikalti hai!

-


Siyah ped hain ab aap apni parchayin

zameen se ta-mah-o-anjum sukut ke minar



jidhar nigah karen ik athah gum-shudgi

ek ek kar ke fasurda charaghon ki palken!

-