
subh-dam jo dekha tha kya hara-bhara ghar tha dantti hui biwi bhagte hue bachche rassiyon ki banhon mein jhulte hue kapde bolte hue bartan jagte hue chulhe ek taraf ko gudiya ka adh-bana gharaunda tha dur ek kone mein cycle ka pahiya tha murghiyon ke darbe the kabuken thin, pinjra tha tis gaz ke aangan mein sab hi kuchh to rakkha tha ek pal mein ye manzar kyun badal sa jata hai ek dhuan sa uthta hai han magar dhundalke mein kuchh dikhai deta hai ja-namaz ka kona jhadiyon mein uljha hai safha-e-kalam-e-pak khak par larazta hai sath aur khabron ke ye khabar bhi chhapti hai log is ko padhte hain baaten hoti rahti hain kaam chalte rahte hain embulance edhi ki bain karti aati hai sab jali kati lashen sath le ke jati hai subh tak sabhi lashen dafn kar di jati hain auraton ki bachchon ki budhon aur jawanon ki masjidon se hoti hain barishen azanon ki la-ilah il-lallah la-ilaha il-lallah