jangal dikhai dega agar ye yahan na hon

jangal dikhai dega agar ye yahan na hon
sach puchhiye to shahr ki halchal hain ladkiyan
un se kaho ki ganga ke jaisi pawitra hain
jin ke liye sharab ki botal hain ladkiyan
'anjum' tum apne shahr ke ladkon se ye kaho
pairon ki bediyan nahin pael hain ladkiyan

main ne ek khwab ek lifafe mein

maut aur zindagi ki sarhad par
wo kisi se nahin mile lekin
un ke jaane ke baad logon ne
phul diwar ke qarib rakkhe
mishalen sidhiyon pe raushan kin
ek mauhum si umid mein gum
ladkiyon ki siyah aankhon se
aansuon ki qatar chalti rahi
jaane walon ke gham mein tez hawa
har taraf sogwar chalti rahi
zindagi un ke ghar ke raste par
jaane kyun bar bar chalti rahi

main ne ek khwab ek lifafe mein

suraj ki ek kiran jab
shabnam se konpalon par moti bana rahi thi
patton mein chhup ke baithi
ek be-dhyan chidiya kuchh gunguna rahi thi
thandi hawa sadak par
college ki ladkiyon ke
ham-rah ja rahi thi
be-tab ek gilahri
baadam ka shagufa
shayad chhupa rahi thi
guzri hui mohabbat
barish ke sath mil ke
bauchhaar ban gai thi
jab hum wahan nahin the
khidki ke samne ek
diwar ban gai thi

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close