
ai dil un aankhon par na ja jin mein wafur-e-ranj se kuchh der ko tere liye aansu agar lahra gae ye chand lamhon ki chamak jo tujh ko pagal kar gai in jugnuon ke nur se chamki hai kab wo zindagi jis ke muqaddar mein rahi subh-e-talab se tirgi kis soch mein gum-sum hai tu ai be-khabar nadan na ban teri fasurda ruh ko chahat ke kanton ki talab aur us ke daman mein faqat hamdardiyon ke phul hain