
ek umang se tani hui ek pur-asrar gali patti patti aag liye jati hai ye sarkash khun-farosh apne barush ki jumbish se maili subh mein surkh rang bhar degi aaj numu ke nile zahr se bhari hui baithi hai os mein tar koi be-ghar titli nin-ped ki khwab-shakh par pile dhani andeshon ki dhanak pahan ke soti hai is kohre mein wo jadu-gar bir-bahuti kiran dikhai de jo us ke majruh paron se shabnam ki zanjir tod ke use rihai de narm ghas mein hawa ude jo mitti mein band mahak apne razor se kat kat ke dharti se aazad kare manzaron ka said mein ek apne camere mein qaid mein