
tukda ek nazm ka din bhar meri sanson mein sarakta hi raha lab pe aaya to zaban katne lagi dant se pakda to lab chhilne lage na to phenka hi gaya munh se, na nigla hi gaya kanch ka tukda atak jae halaq mein jaise tukda wo nazm ka sanson mein sarakta hi raha