log rakhte hain tasawwur se aqidat gahriShayari By 22 Apr 2023 03:53:25 PMQitalog rakhte hain tasawwur se aqidat gahri aur haqiqat ki jhalak dekh ke ghabraate hain sanp ke naqsh ki karte hain parastish lekin sanp zinda jo nazar aae to dar jate hain [...] Continue Reading... Share on:
lakh kamsin sahi alhaD sahi masum sahiShayari By 22 Apr 2023 03:50:50 PMQitalakh kamsin sahi alhad sahi masum sahi phir bhi wo dil ke ishaaraat samajh lete hain un ko nadan to kahta hai zamana lekin apne matlab ki wo har baat samajh lete hain [...] Continue Reading... Share on:
ilm se ghair maqamat pe milti hai madadShayari By 22 Apr 2023 03:48:11 PMQitailm se ghair maqamat pe milti hai madad aql ayyam-e-musibat ke liye daulat hai din-o-mazhab se sukun milta hai uqba mein magar ilm har haal mein insan ke liye neamat hai [...] Continue Reading... Share on:
ghurbat-o-yas ke mare hue insanon seShayari By 22 Apr 2023 03:45:32 PMQitaghurbat-o-yas ke mare hue insanon se ahl-e-fan karte hain yun tazkira-e-husn-o-jamal jaise birhan se kare zikr-e-shab-e-wasl koi jaise bewa ko sunae koi baraat ka haal [...] Continue Reading... Share on:
dukh ki buniyaad bana silisla-e-marg-o-hayatShayari By 22 Apr 2023 03:43:18 PMQitadukh ki buniyaad bana silisla-e-marg-o-hayat kash insan kabhi hasti ka na hota talib nisti aadam-e-khaki ke liye behtar thi is ko hone ne duboya hai ba-qaul-e-'ghaalib' [...] Continue Reading... Share on:
dastan ahl-e-mohabbat ki hai har shaKHs ko yaadShayari By 22 Apr 2023 03:40:58 PMQitadastan ahl-e-mohabbat ki hai har shakhs ko yaad ilm mahbus hai tarikh ke aiwanon mein ishq walon ke sahife na hue bosida gard jamti rahi duniya ke kutub-khanon mein [...] Continue Reading... Share on: