nifaq se khuda bachae rog ye shadid hai bala-e-jaan aadmi nishan-e-buz-dili hai ye zawal-e-admi hai ye wabaal-e-admi hai ye agar kahun durust hai ki marg-e-admi hai ye ye gandagi ka dher hai ghilaf mein dhaka chhupa ye khaufnak zahr hai mithas mein mila-jula waba-e-haul-nak hai bala-e-haul-nak hai ye chalti phirti aag hai dayar o mulk o shahr mein nifaq se khuda bachae rog ye khabis hai libas-e-jism-e-admi mein kodh hai chhupa hua munafiqon ki khaslaten ajib hain gharib hain zaban pe kuchh hai dil mein kuchh kahenge kuchh karenge kuchh zaban pe dosti ka rag aastin mein chhuri dilon mein bughz hai bhara magar labon pe hai hansi zaban par khuda ki rat dilon mein fikr-e-shaitanat ye apne aap hain khuda gharaz ko pujte hain ye ye nafs ke ghulam hain mafad ke ghulam hain ye apne aap muqtadi ye apne khud imam hain