chamak jugnu ki barq-e-be-aman malum hoti hai

chamak jugnu ki barq-e-be-aman malum hoti hai
qafas mein rah ke qadr-e-ashiyan malum hoti hai
kahani meri rudad-e-jahan malum hoti hai
jo sunta hai usi ki dastan malum hoti hai
sahar tak sai-e-nala raegan malum hoti hai
ye duniya to ba-qadr-e-yak-fughan malum hoti hai
kisi ke dil mein gunjaish nahin wo bar-e-hasti hon
lahad ko bhi meri mitti giran malum hoti hai
khizan ke waqt bhi khamosh rahti hai faza sari
chaman ki patti patti raaz-dan malum hoti hai
hawa-e-shauq ki quwwat wahan le aai hai mujh ko
jahan manzil bhi gard-e-karwan malum hoti hai
taraqqi par hai roz-afzun khalish dard-e-mohabbat ki
jahan mahsus hoti thi wahan malum hoti hai
qafas ki tiliyon mein jaane kya tarkib rakkhi hai
ki har bijli qarib-e-ashiyan malum hoti hai
na kyun 'simab' mujh ko qadr ho virani-e-dil ki
ye buniyaad-e-nashat-e-do-jahan malum hoti hai

asar usko zara nahin hota

asar us ko zara nahin hota
ranj rahat-faza nahin hota
she remains unmoved and hard to please
my pain persists, does not provide release
bewafa kahne ki shikayat hai
to bhi wada-wafa nahin hota
she objects being labelled faithless still
not a single vow does she fulfil
zikr-e-aghyar se hua malum
harf-e-naseh bura nahin hota
mention of my rivals made me know
the preacher's word isn't harsh somehow
kis ko hai zauq-e-talkh-kaami lek
jang bin kuchh maza nahin hota
.....................................................................
.....................................................................
tum hamare kisi tarah na hue
warna duniya mein kya nahin hota
your love by any means i could not gain
or else in life what would not one attain
us ne kya jaane kya kiya le kar
dil kisi kaam ka nahin hota
i wonder why she took my heart away
it is of no avail i've heard them say
imtihan kijiye mera jab tak
shauq zor-azma nahin hota
.....................................................................
.....................................................................
ek dushman ki charkh hai na rahe
tujh se ye ai dua nahin hota
that heavens be my enemy no more
this task, prayers, you cannot ensure
aah tul-e-amal hai roz-fuzun
garche ek muddaa nahin hota
my efforts daily multiply and yet
the only thing i want i do not get
tum mere pas hote ho goya
jab koi dusra nahin hota
in such a manner are you close to me
when no one else at all there ever be
haal-e-dil yar ko likhun kyunkar
hath dil se juda nahin hota
to her, how do i write my state of heart
from my heart my hand just cannot part
rahm bar-khasm-e-jaan-e-ghair na ho
sab ka dil ek sa nahin hota
......................................................................
.......................................................................
daman us ka jo hai daraaz to ho
dast-e-ashiq rasa nahin hota
she may be generous, still it is in vain
a lover's hand does not ever attain
chaara-e-dil siwae sabr nahin
so tumhaare siwa nahin hota
no cure, save patience, can there ever be
and that, without you, will not come to me
kyun sune arz-e-muztar ai 'momin'
sanam aakhir khuda nahin hota
momin distressed pleas, why will she heed
a paramour she is, not god indeed

arz-e-niyaz-e-ishq ke qabil nahin raha

arz-e-niyaz-e-ishq ke qabil nahin raha
jis dil pe naz tha mujhe wo dil nahin raha
incapable of voicing lovelorn longing as before
no longer is my heart the same that did me proud of yore
jata hun dagh-e-hasrat-e-hasti liye hue
hun sham-e-kushta dar-khur-e-mahfil nahin raha
i leave bearing the scars of life's desires unfulfilled
i am a candle extinguished and from the room dispelled
marne ki ai dil aur hi tadbir kar ki main
shayan-e-dast-o-bazu-e-qatil nahin raha
find yet another way to die o heart
for worthy of the killer's hand no longer i remain
bar-ru-e-shash-jahat dar-e-aina baz hai
yan imtiyaz-e-naqis-o-kaamil nahin raha
in all the six directions, doors of mirror god conjures
the fiction of faulty and flawless no longer obscures
wa kar diye hain shauq ne band-e-naqab-e-husn
ghair-az-nigah ab koi hail nahin raha
my passion caused her veil to drop her face can now be seen
but for my vision there exists now nothing in between
go main raha rahin-e-sitam-ha-e-rozgar
lekin tere khayal se ghafil nahin raha
in tyranny of livelihood athough enmeshed i'd be
but every moment even then your thought remained with me
dil se hawa-e-kisht-e-wafa mit gai ki wan
hasil siwae hasrat-e-hasil nahin raha
gone from this heart the wish for faithfulness to be instilled
for nothing grew from it except desires unfulfilled
bedad-e-ishq se nahin darta magar 'asad'
jis dil pe naz tha mujhe wo dil nahin raha
i wouldn't have been frightened of love's injustices but for
no longer is my heart the same that did me proud of yore
har-chand main hun tuti-e-shirin-sukhan wale
aaina aah mere muqabil nahin raha
jaan-dad-gan ka hausla fursat-gudaz hai
yan arsa-e-tapidan-e-bismil nahin raha
hun qatra-zan ba-wadi-e-hasrat shabana roz
juz tar-e-ashk jada-e-manzil nahin raha
ai aah meri khatir-e-wabasta ke siwa
duniya mein koi uqda-e-mushkil nahin raha
andaz-e-nala yaad hain sab mujh ko par 'asad'
jis dil pe naz tha mujhe wo dil nahin raha

aise chup hain ki ye manzil bhi kaDi ho jaise

aise chup hain ki ye manzil bhi kadi ho jaise
tera milna bhi judai ki ghadi ho jaise
apne hi sae se har gam laraz jata hun
raste mein koi diwar khadi hon jaise
kitne nadan hain tere bhulne wale ki tujhe
yaad karne ke liye umr padi ho jaise
tere mathe ki shikan pahle bhi dekhi thi magar
ye girah ab ke mere dil mein padi ho jaise
manzilen dur bhi hain manzilen nazdik bhi hain
apne hi panw mein zanjir padi ho jaise
aaj dil khol ke roe hain to yun khush hain 'faraaz'
chand lamhon ki ye rahat bhi badi ho jaise

abhi wo kamsin ubhar raha hai abhi hai us par shabab aadha

abhi wo kamsin ubhar raha hai abhi hai us par shabab aadha
abhi jigar mein khalish hai aadhi abhi hai mujh par itab aadha
hijab o jalwe ki kashmakash mein uthaya us ne naqab aadha
idhar huwaida sahab aadha udhar ayan mahtab aadha
mere sawal-e-visal par tum nazar jhuka kar khade hue ho
tumhin batao ye baat kya hai sawal pura jawab aadha
lapak ke mujh ko gale lagaya khuda ki rahmat ne roz-e-mahshar
abhi sunaya tha mohtasib ne mere gunah ka hisab aadha
baja ki ab baal to siyah hain magar badan mein sakat nahin hai
shabab laya khizab lekin khizab laya shabab aadha
laga ke lase pe le ke aaya hun shaikh sahab ko mai-kade tak
agar ye do ghont aaj pi len milega mujh ko sawab aadha
kabhi sitam hai kabhi karam hai kabhi tawajjoh kabhi taghaful
ye saf zahir hai mujh pe ab tak hua hun main kaamyab aadha
kisi ki chashm-e-surur aawar se ashk aariz pe dhal raha hai
agar shuur-e-nazar hai dekho sharab aadhi gulab aadha
purane waqton ke log khush hain magar taraqqi pasand khamosh
teri ghazal ne kiya hai barpa 'sahar' abhi inqilab aadha

ab kahan aur kisi chiz ki ja rakkhi hai

ab kahan aur kisi chiz ki ja rakkhi hai
dil mein ek teri tamanna jo basa rakkhi hai
sar-ba-kaf main bhi hun shamshir-ba-kaf hai tu bhi
tu ne kis din pe ye taqrib utha rakkhi hai
dil sulagta hai tere sard rawayye se mera
dekh ab barf ne kya aag laga rakkhi hai
aaina dekh zara kya main ghalat kahta hun
tu ne khud se bhi koi baat chhupa rakkhi hai
jaise tu hukm kare dil mera waise dhadke
ye ghadi tere ishaaron se mila rakkhi hai
mutmain mujh se nahin hai jo raiyat meri
ye mera taj rakha hai ye qaba rakkhi hai
gauhar-e-ashk se khali nahin aankhen 'anwar'
yahi punji to zamane se bacha rakkhi hai

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close