
jamila ab uttho na aansu bahao nahin waqt rone ka dariyan bichhao ye duniya hai fani gaya jaane wala wo rone se wapas nahin aane wala na be-kar ab tum duhai machao utho apne ghar mein safai karao muazzaz muazzaz jo aaenge mehman bahut nak aur bhaun chadhaengi amman tum un ke liye jald huqqe mangao miyan bhag kar chae lipton ki lao wo sab aa ke izhaar-e-matam karenge wo baithak mein roenge chae piyenge sunaenge marhum ke wo fasane ki lab bolne ko diye hain khuda ne dulhan ne utara na tha surkh joda ki dulha ne duniya-e-fani ko chhoda bahut khub-surat bahut nek tha wo hazaron jawanon mein bas ek tha wo namaz ek bhi hargiz na us ne qaza ki shab o roz karta ibaadat khuda ki jidhar dekhte hain udhar gham hi gham hai karen is ka jitna bhi matam wo kam hai na ro ro ke behaal ho ai dulhan tu na kar is qadar aah-o-ranj-o-mehan tu wo jannat mein khushiyan manaega mat ro wo huron se ab dil lagaega mat ro jamila khuda ki qasam muskura de teri be-qarari na hum ko rula de raziyya zara garm chawal to lana zakiyya zara thanda pani pilana bahut khub-surat bahut nek tha wo hazaron jawanon mein bas ek tha wo jamila mujhe roghni nan dena wo firni uthana wo pakwan dena judai mein us ke hua dil diwana ki lagta hai achchha na pina na khana mangao polaw zara aur khala badhana zara qorme ka piyala jidhar dekhte hain udhar gham hi gham hai karen is ka jitna bhi matam wo kam hai wo nannhi ke zarde mein kishmish hai thodi bahut der se mangti hai nigodi wo tukda jigar ka tha aankhon ka tara hamein apni aulad se bhi tha pyara pada hai polaw mein ghee dalde ka khuda tu hi hafiz hai mere gale ka dulhan se kaho aah itni na roe be-chaari na be-kar mein jaan khoe ari botiyan tin salan mein tere ye chhichhda likha tha muqaddar mein mere bahut khub-surat bahut nek tha wo hazaron jawanon mein bas ek tha wo dulhan ghar mein churan agar hai to lana nahin to zara khaari botal mangana na kar bain itne na ro itna pyari hamare kaleje pe chalti hai aari