arsh ke tare toD ke laen kawish log hazar karen

arsh ke tare tod ke laen kawish log hazar karen
'mir' ki baat kahan se paen aakhir ko iqrar karen
aap ise husn-e-talab mat samjhen na kuchh aur shumar karen
sher ek 'mir' faqir ka hum jo aap ke gosh guzar karen
aaj hamare ghar aaya lo kya hai jo tujh pe nisar karen
illa khinch baghal mein tujh ko der talak hum pyar karen
kab ki hamare ishq ki naubat qais se aage ja pahunchi
rasman log abhi tak us marhum ka zikr azkar karen
durj-e-chashm mein ashk ke moti le jaane hain un ke huzur
chokha rang lahu ka de kar aur unhen shahwar karen
din o dil o jaan sab sarmaya jis mein apna sarf hua
ishq ye karobar nahin kya aur jo karobar karen
jitne bhi dil-rish hain us ke sab ko name bhej bula
us be-mehr wafa dushman ki yaadon ka darbar karen

ajab hai rang-e-chaman ja-ba-ja udasi hai

ajab hai rang-e-chaman ja-ba-ja udasi hai
mahak udasi hai baad-e-saba udasi hai
nahin nahin ye bhala kis ne kah diya tum se
mein thik-thak hun han bas zara udasi hai
main mubtala kabhi hota nahin udasi mein
main wo hun jis mein ki khud mubtala udasi hai
tabib ne koi tafsil to batai nahin
bahut jo puchha to itna kaha udasi hai
gudaz qalb khushi se bhala kisi ko mila
azim wasf hi insan ka udasi hai
shadid dard ki ru hai rawan rag-e-jaan mein
bala ka ranj hai be-intiha udasi hai
firaq mein bhi udasi bade kamal ki thi
pas-e-visal to is se siwa udasi hai
tumhein mile jo khazane tumhein mubarak hon
meri kamai to ye be-baha udasi hai
chhupa rahi ho magar chhup nahin rahi meri jaan
jhalak rahi hai jo zer-e-qaba udasi hai
mujhe masail-e-kaun-o-makan se kya matlab
mera to sab se bada masala udasi hai
falak hai sar pe udasi ki tarah phaila hua
zamin nahin hai mere zer-e-pa udasi hai
ghazal ke bhes mein aai hai aaj mahram-e-dard
sukhan ki odhe hue hai rida udasi hai
ajib tarah ki haalat hai meri be-ahwal
ajib tarah ki be majra udasi hai
wo kaif-e-hijr mein ab ghaaliban sharik nahin
kai dinon se bahut be-maza udasi hai
wo kah rahe the ki shair ghazab ka hai 'irfan'
har ek sher mein kya gham hai kya udasi hai

teri KHushbu ka pata karti hai

teri khushbu ka pata karti hai
mujh pe ehsan hawa karti hai
chum kar phul ko aahista se
moajaza baad-e-saba karti hai
khol kar band-e-qaba gul ke hawa
aaj khushbu ko riha karti hai
abr baraste to inayat us ki
shakh to sirf dua karti hai
zindagi phir se faza mein raushan
mishal-e-barg-e-hina karti hai
hum ne dekhi hai wo ujli saat
raat jab sher kaha karti hai
shab ki tanhai mein ab to akasr
guftugu tujh se raha karti hai
dil ko us rah pe chalna hi nahin
jo mujhe tujh se juda karti hai
zindagi meri thi lekin ab to
tere kahne mein raha karti hai
us ne dekha hi nahin warna ye aankh
dil ka ahwal kaha karti hai
mushaf-e-dil pe ajab rangon mein
ek taswir bana karti hai
be-niyaz-e-kaf-e-dariya angusht
ret par nam likha karti hai
dekh tu aan ke chehra mera
ek nazar bhi teri kya karti hai
zindagi bhar ki ye takhir apni
ranj milne ka siwa karti hai
sham padte hi kisi shakhs ki yaad
kucha-e-jaan mein sada karti hai
masala jab bhi charaghon ka utha
faisla sirf hawa karti hai
mujh se bhi us ka hai waisa hi suluk
haal jo tera ana karti hai
dukh hua karta hai kuchh aur bayan
baat kuchh aur hua karti hai

tazad-e-jazbaat mein ye nazuk maqam aaya to kya karoge

tazad-e-jazbaat mein ye nazuk maqam aaya to kya karoge
main ro raha hun tum hans rahe ho main muskuraya to kya karoge
mujhe to is darja waqt-e-rukhsat sukun ki talqin kar rahe ho
magar kuchh apne liye bhi socha main yaad aaya to kya karoge
abhi to tanqid ho rahi hai mere mazaq-e-junun pe lekin
tumhaari zulfon ki barhami ka sawal aaya to kya karoge
tumhaare jalwon ki raushni mein nazar ki hairaniyan musallam
magar kisi ne nazar ke badle jo dil aazmaya to kya karoge
utar to sakte ho yar lekin maal par bhi nigah kar lo
khuda-na-karda sukun-e-sahil na ras aaya to kya karoge
kuchh apne dil par bhi zakhm khao mere lahu ki bahaar kab tak
mujhe sahaara banane walo main ladkhadaya to kya karoge
abhi to daman chhuda rahe ho bigad ke 'qabil' se ja rahe ho
magar kabhi dil ki dhadkanon mein sharik paya to kya karoge

maze jahan ke apni nazar mein KHak nahin

maze jahan ke apni nazar mein khak nahin
siwae khun-e-jigar so jigar mein khak nahin
magar ghubar hue par hawa uda le jae
wagarna tab o tawan baal-o-par mein khak nahin
ye kis bahisht-shamail ki aamad aamad hai
ki ghair-e-jalwa-e-gul rahguzar mein khak nahin
bhala use na sahi kuchh mujhi ko rahm aata
asar mere nafas-e-be-asar mein khak nahin
khayal-e-jalwa-e-gul se kharab hain mai-kash
sharab-khane ke diwar-o-dar mein khak nahin
hua hun ishq ki ghaarat-gari se sharminda
siwae hasrat-e-tamir ghar mein khak nahin
hamare sher hain ab sirf dil-lagi ke 'asad'
khula ki faeda arz-e-hunar mein khak nahin

kuchh to batao shair-e-bedar kya hua

kuchh to batao shair-e-bedar kya hua
kis ki talash hai tumhein aur kaun kho gaya
aankhon mein raushni bhi hai viraniyan bhi hain
ek chand sath sath hai ek chand gah gaya
tum ham-safar hue to hui zindagi aziz
mujh mein to zindagi ka koi hausla na tha
tum hi kaho ki ho bhi sakega mera ilaj
agli mohabbaton ke mere zakhm-ashna
jhanka hai main ne khalwat-e-jaan mein nigar-e-jaan
koi nahin hai koi nahin hai tere siwa
wo aur tha koi jise dekha hai bazm mein
gar mujh ko dhundna hai meri khalwaton mein aa
ai mere khwab aa meri aankhon ko rang de
ai meri raushni tu mujhe rasta dikha
ab aa bhi ja ki subh se pahle hi bujh na jaun
ai mere aaftab bahut tez hai hawa
ya-rab ata ho zakhm koi sher-afrin
ek umr ho gai ki mera dil nahin dukha
wo daur aa gaya hai ki ab sahiban-e-dard
jo khwab dekhte hain wahi khwab na-rasa
daman bane to rang hua dastaras se dur
mauj-e-hawa hue to hai khushbu gurez-pa
likkhen bhi kya ki ab koi ahwal-e-dil nahin
chikhen bhi kya ki ab koi sunta nahin sada
aankhon mein kuchh nahin hai ba-juz khak-e-rahguzar
sine mein kuchh nahin hai ba-juz nala-o-nawa
pahchan lo hamein ki tumhaari sada hain hum
sun lo ki phir na aaenge hum se ghazal-sara

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close