kuchh to batao shair-e-bedar kya hua

kuchh to batao shair-e-bedar kya hua
kis ki talash hai tumhein aur kaun kho gaya
aankhon mein raushni bhi hai viraniyan bhi hain
ek chand sath sath hai ek chand gah gaya
tum ham-safar hue to hui zindagi aziz
mujh mein to zindagi ka koi hausla na tha
tum hi kaho ki ho bhi sakega mera ilaj
agli mohabbaton ke mere zakhm-ashna
jhanka hai main ne khalwat-e-jaan mein nigar-e-jaan
koi nahin hai koi nahin hai tere siwa
wo aur tha koi jise dekha hai bazm mein
gar mujh ko dhundna hai meri khalwaton mein aa
ai mere khwab aa meri aankhon ko rang de
ai meri raushni tu mujhe rasta dikha
ab aa bhi ja ki subh se pahle hi bujh na jaun
ai mere aaftab bahut tez hai hawa
ya-rab ata ho zakhm koi sher-afrin
ek umr ho gai ki mera dil nahin dukha
wo daur aa gaya hai ki ab sahiban-e-dard
jo khwab dekhte hain wahi khwab na-rasa
daman bane to rang hua dastaras se dur
mauj-e-hawa hue to hai khushbu gurez-pa
likkhen bhi kya ki ab koi ahwal-e-dil nahin
chikhen bhi kya ki ab koi sunta nahin sada
aankhon mein kuchh nahin hai ba-juz khak-e-rahguzar
sine mein kuchh nahin hai ba-juz nala-o-nawa
pahchan lo hamein ki tumhaari sada hain hum
sun lo ki phir na aaenge hum se ghazal-sara

kisi bekas ko ai bedad gar mara to kya mara

kisi bekas ko ai bedad gar mara to kya mara
jo aap hi mar raha ho us ko gar mara to kya mara
na mara aap ko jo khak ho iksir ban jata
agar pare ko ai iksir gar mara to kya mara
bade muzi ko mara nafs-e-ammara ko gar mara
nahang o azhdaha o sher-e-nar mara to kya mara
khata to dil ki thi qabil bahut si mar khane ke
teri zulfon ne mushkin bandh kar mara to kya mara
nahin wo qaul ka sachcha hamesha qaul de de kar
jo us ne hath mere hath par mara to kya mara
tufang o tir to zahir na tha kuchh pas qatil ke
ilahi us ne dil ko tak kar mara to kya mara
hansi ke sath yan rona hai misl-e-qulqul-e-mina
kisi ne qahqaha ai be-khabar mara to kya mara
mere aansu hamesha hain ba-rang-e-lal-e-gharq-e-khun
jo ghota aab mein tu ne guhar mara to kya mara
jigar dil donon pahlu mein hain zakhmi us ne kya jaane
idhar mara to kya mara udhar mara to kya mara
gaya shaitan mara ek sajda ke na karne mein
agar lakhon baras sajde mein sar mara to kya mara
dil-e-sangin-e-khusrau par bhi zarb ai kohkan pahunchi
agar tesha sar-e-kohsar par mara to kya mara
dil-e-bad-khwah mein tha marna ya chashm-e-bad-bin mein
falak par 'zauq' tir-e-ah gar mara to kya mara

humne sab sher mein sanware the

hum ne sab sher mein sanware the
hum se jitne sukhan tumhaare the
rang-o-khushbu ke husn-o-khubi ke
tum se the jitne istiare the
tere qaul-o-qarar se pahle
apne kuchh aur bhi sahaare the
jab wo lal-o-gohar hisab kiye
jo tere gham ne dil pe ware the
mere daman mein aa gire sare
jitne tasht-e-falak mein tare the
umr-e-jawed ki dua karte
'faiz' itne wo kab hamare the

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close