hum ye to nahin kahte ki gham kah nahin sakte par jo sabab-e-ghum hai wo hum kah nahin sakte hum dekhte hain tum mein khuda jaane buto kya is bhed ko allah ki qasam kah nahin sakte ruswa-e-jahan karta hai ro ro ke hamein tu hum tujhe kuchh ai dida-e-nam kah nahin sakte kya puchhta hai hum se tu ai shokh sitamgar jo tu ne kiye hum pe sitam kah nahin sakte hai sabr jinhen talkh-kalami ko tumhaari sharbat hi batate hain sam kah nahin sakte jab kahte hain kuchh baat rukawat ki tere hum ruk jata hai ye sine mein dam kah nahin sakte allah re tera rob ki ahwal-e-dil apna de dete hain hum kar ke raqam kah nahin sakte tuba-e-bahishti hai tumhaara qad-e-rana hum kyunkar kahen sarw-e-iram kah nahin sakte jo hum pe shab-e-hijr mein us mah-liqa ke guzre hain 'zafar' ranj o alam kah nahin sakte