suraj ka aatish-kada

sochta hun
waqt ki gardan pakad kar
reshmi scarf ka phanda laga kar
khinch lun
aur itni zor se chikhun
zamin se
aasman tak
sirf meri chikh hi ka shor gunje
waqt ki marti hui aawaz koi sun na pae
sochta hun
wusat-e-afaq mein parwaz kar ke
raat ki aankhon mein tariki ka parda dal kar main
chand taron ko chura laun zamin par
aur thodi der
bachchon ki tarah khush ho ke khelun
khelne se bhi jab apna dil na bahle
ek patthar par patakh kar
har khilaune ko main chakna-chur kar dun
sochta hun
aasman se chhin kar
jalte hue suraj ki thaali
ek kashti ki tarah
gahre samundar mein chalaun
aur us par sari duniya ko bitha kar
gharq kar dun
sochta hun
sochte hi sochte
main khud hi ek din
soch ke aatish-kada mein jal na jaun

aaseb

mujhe daraya gaya tha
bachpan mein ek aaseb se
wo aaseb!
jis ka phulon ke bich ghar tha
wo shokh phulon ki chhanw mein palne wali khushbu ka ham-safar tha
mujhe daraya gaya tha lekin
tawil garmi ki har suhani si dopahar ko
main apni man ki nazar bacha kar
gulabi nindon ki reshmi ungliyan chhuda kar
dahakte phulon ke darmiyan khelti thi pahron
ajib din the
ki un dinon mein
dahakte phulon ke bich khushbu ke ham-safar se
meri mulaqat jab hui thi
main dar gai thi
ki mujh mein bachpan se ajnabi khauf pal raha tha
mujhe bhi aaseb ho gaya tha
magar ye aaseb!
ab to mujh mein utar raha hai
hasin phulon ke bich khwabon ke sabz mausam mein
us ke hathon mein hath dale
main khushbuon ki tarah hawaon mein ud rahi hun

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close