palkon pe gham-e-hijr ke sab dip jalaeShayari By 14 Jan 2022 05:24:31 PMSherpalkon pe gham-e-hijr ke sab dip jalae nindon ke shabistan mein bhaari meri aankhen Continue Reading... Share on:
aankhon ko dekhte hi boleShayari By 09 Mar 2021 07:48:33 PMSheraankhon ko dekhte hi bole bin piye koi madhosh aaya Continue Reading... Share on:
kahun to kya main kahun pyari pyari aankhon koShayari By 26 Jan 2021 06:10:00 PMMazahiyakahun to kya main kahun pyari pyari aankhon ko subu kahun ki surahi tumhaari aankhon ko kuchh aisa chhaya hai dil par mere ghubar-e-alam gulon ke sae bhi lagte hain bhaari aankhon ko [...] Continue Reading... Share on:
raat taswir numudar hui aankhon mein26 Jan 2021 05:26:30 PMGhazalraat taswir numudar hui aankhon mein subh ke samne diwar hui aankhon mein matla-e-dil pe phir ek chand pighal jaega aaj ek tez chamak khar hui aankhon mein aa tujhe lal karun zard-rukhi bint-e-khizan surkh sailab ki yalghaar hui aankhon mein Continue Reading... Share on:
tujhse hi kya wafa ki nahin KHush-nigah chashm26 Jan 2021 05:23:51 PMGhazaltujh se hi kya wafa ki nahin khush-nigah chashm jitne safed-posh hain sab hain siyah-chashm us mehr-wash ke hone na de girya ru-ba-ru jab tak safed howe na manind-e-mah chashm andher hai dayar-e-mohabbat mein ham-daman taqsir dil ki thahre kare jo gunah chashm donon makan ghair se khali hain aa ke baith tere pasand khwah ye dil aae khwah chashm us ki shab-e-firaq mein itna tu ro ki ho dariya-e-ashk mein teri kashti tabah chashm mujh ko jala ke khak kya aur baha diya tum se to ye na thi mujhe ai ashk-o-ah chashm 'joshish' wo kaun sa hai jafa-kar jis par aaj munh par lahu male hue hai dad-khwah chashm Continue Reading... Share on:
sham se un ke tasawwur ka nasha tha itnaShayari By 04 Dec 2020 05:08:30 AMShersham se un ke tasawwur ka nasha tha itna nind aai hai to aankhon ne bura mana hai Continue Reading... Share on: