husn-pari ho sath aur be-mausam ki barish ho jaeShayari By 30 Sep 2021 01:48:22 AMGhazalhusn-pari ho sath aur be-mausam ki barish ho jae chhatri kaun kharidega phir jitni barish ho jae aisi pyas ki shiddat hai ki main ye duaen karta hun jitne samundar hain duniya mein sab ki barish ho jae [...] Continue Reading... Share on:
zindagi-bhar nahin bhulegi wo barsat ki raatShayari By 27 Jan 2021 01:28:30 AMGeetzindagi-bhar nahin bhulegi wo barsat ki raat ek anjaan hasina se mulaqat ki raat hae wo reshmin zulfon se barasta pani phul se galon pe rukne ko tarasta pani [...] Continue Reading... Share on:
sukh jati hai meri chashm-e-rawan barish mein26 Jan 2021 07:43:04 PMGhazalsukh jati hai meri chashm-e-rawan barish mein aasman hota rahe ashk-e-fishan barish mein sare sahrai rihai ke tamannai na the aa gaya le ke hamein qais kahan barish mein ghonsle tut gae ped gire bandh gire ganw pe phir bhi jawan nashsha-e-jaan barish mein teri sarsabz bahaaron pe damakte qatre lauh-e-mahfuz ke kuchh ramz-e-nihan barish mein lab-e-ehsas kabhi tu kisi qabil ho ja chum le manzil-e-mubham ke nishan barish mein hanpti kanpti mazbut iradon wali bench pe baithi hui mahw-e-guman barish mein pahli tap tap hi mere hosh uda deti hai nind udti hai atak jati hai jaan barish mein aaj bhi darta hun bijli ke kadake se bahut us ko qabu mein kiya karti thi man barish mein mere kamre ka makin habs gala ghontta hai koi to ramz-e-aziyyat hai nihan barish mein Continue Reading... Share on:
kachchi diwaron ko pani ki lahar kaT gaiShayari By 30 Nov 2020 09:11:16 AMSherkachchi diwaron ko pani ki lahar kat gai pahli barish hi ne barsat ki dhaya hai mujhe Continue Reading... Share on:
dhuan uDati hui dhimi dhimi barish haiShayari By 27 Nov 2020 12:46:23 PMGhazaldhuan udati hui dhimi dhimi barish hai hawa ki andhi sawari pe andhi barish hai hamare ganw ke raston ki kachchi mitti par phisal rahe hain qadam kitni gandi barish hai [...] Continue Reading... Share on:
main wo sahra jise pani ki hawas le DubiShayari By 22 Nov 2020 02:24:40 AMShermain wo sahra jise pani ki hawas le dubi tu wo baadal jo kabhi tut ke barsa hi nahin Continue Reading... Share on: