ye kya tilism hai duniya pe bar guzri haiShayari By Syed Aabid Ali Aabid26 Jan 2021 12:30:00 PMGhazalye kya tilism hai duniya pe bar guzri hai wo zindagi jo sar-e-rahguzar guzri hai gulon ki gum-shudagi se suragh milta hai kahin chaman se nasim-e-bahaar guzri hai [...] Continue Reading... Share on:
sansar ki har shai ka itna hi fasana haiShayari By Sahir Ludhianvi26 Jan 2021 12:30:00 PMGhazalsansar ki har shai ka itna hi fasana hai ek dhund se aana hai ek dhund mein jaana hai ye rah kahan se hai ye rah kahan tak hai ye raaz koi rahi samjha hai na jaana hai [...] Continue Reading... Share on:
ab to be-dad pe be-dad karegi duniyaShayari By Qateel Shifai14 Nov 2020 10:57:50 PMGhazalab to be-dad pe be-dad karegi duniya hum na honge to hamein yaad karegi duniya zindagi bhag chali maut ke darwaze se ab qafas kaun sa ijad karegi duniya [...] Continue Reading... Share on:
ye musht-e-KHak apne ko jahan chahe tahan le jaShayari By Qasim Ali Khan Afridi26 Jan 2021 12:30:00 PMGhazalye musht-e-khak apne ko jahan chahe tahan le ja par is aalam ko is aalam se mat bar-e-garan le ja adam se jis tarah tanha chala aaya tha phir wan ko munasib hai isi surat se surat chhod jaan le ja [...] Continue Reading... Share on:
duniya jise kahte hain jadu ka khilauna haiShayari By Nida Fazli26 Jan 2021 12:30:00 PMGhazalduniya jise kahte hain jadu ka khilauna hai mil jae to mitti hai kho jae to sona hai achchha sa koi mausam tanha sa koi aalam har waqt ka rona to be-kar ka rona hai [...] Continue Reading... Share on:
rah ke makkaron mein makkar hui hai duniyaShayari By Mohsin Aftab Kelapuri26 Jan 2021 12:30:00 PMGhazalrah ke makkaron mein makkar hui hai duniya mere dushman ki taraf-dar hui hai duniya pak daman thi ye jab tak thi mere hujre mein chhod ke mujh ko gunahgar hui hai duniya [...] Continue Reading... Share on: