ai zulm ke mato lab kholo chup rahne walo chup kab takShayari By 09 Nov 2020 11:30:08 AMSherai zulm ke mato lab kholo chup rahne walo chup kab tak kuchh hashr to un se utthega kuchh dur to nale jaenge Continue Reading... Share on:
zulm par zulm aa gae ghaalibShayari By 05 Nov 2020 12:07:10 PMSherzulm par zulm aa gae ghaalib aable aablon ko chhod gae Continue Reading... Share on:
uTTho marne ka haq istimal karoShayari By 26 Jan 2021 12:30:00 PMNazmjine ka haq samraj ne chhin liya uttho marne ka haq istimal karo zillat ke jine se marna behtar hai mit jao ya qasr-e-sitam pamal karo [...] Continue Reading... Share on:
KHud-kushi se pahleShayari By 09 Nov 2020 12:44:38 PMNazmzindagi nach ki har lamha hai jannat-ba-kanar dekh ye lab hain ye aankhen ye gulabi rukhsar phir na aaegi palat kar teri duniya mein bahaar aaj ki raat ghanimat hai charaghan kar len [...] Continue Reading... Share on:
jaane kya kya zulm parinde dekh ke aate hainShayari By 18 Nov 2020 02:38:53 PMSherjaane kya kya zulm parinde dekh ke aate hain sham dhale pedon par marsiya-khwani hoti hai Continue Reading... Share on:
aawaz-e-adamAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMNazmdabegi kab talak aawaz-e-adam hum bhi dekhenge rukenge kab talak jazbaat-e-barham hum bhi dekhenge chalo yunhi sahi ye jaur-e-paiham hum bhi dekhenge dar-e-zindan se dekhen ya uruj-e-dar se dekhen tumhein ruswa sar-e-bazar-e-alam hum bhi dekhenge zara dam lo maal-e-shaukat-e-jam hum bhi dekhenge ye zoam-e-quwwat-e-faulad-o-ahan dekh lo tum bhi ba-faiz-e-jazba-e-iman-e-mohkam hum bhi dekhenge jabin-e-kaj-kulahi khak par kham hum bhi dekhenge mukafat-e-amal tarikh-e-insan ki riwayat hai karoge kab talak nawak faraham hum bhi dekhenge kahan tak hai tumhaare zulm mein dam hum bhi dekhenge ye hangam-e-wida-e-shab hai ai zulmat ke farzando sahar ke dosh par gulnar parcham hum bhi dekhenge tumhein bhi dekhna hoga ye aalam hum bhi dekhenge Continue Reading... Share on: