din ko bhi itna andhera hai mere kamre meinShayari By 26 Jan 2021 12:30:00 PMGhazaldin ko bhi itna andhera hai mere kamre mein saya aate hue darta hai mere kamre mein gham thaka-haara musafir hai chala jaega kuchh dinon ke liye thahra hai mere kamre mein [...] Continue Reading... Share on:
chalne ka hausla nahin rukna muhaal kar diyaShayari By 26 Jan 2021 12:30:00 PMGhazalchalne ka hausla nahin rukna muhaal kar diya ishq ke is safar ne to mujh ko nidhaal kar diya ai meri gul-zamin tujhe chah thi ek kitab ki ahl-e-kitab ne magar kya tera haal kar diya [...] Continue Reading... Share on:
is basti ke ek kuche meinShayari By 12 Nov 2020 01:27:44 PMNazmis basti ke ek kuche mein ek 'insha' nam ka diwana ek nar pe jaan ko haar gaya mashhur hai us ka afsana us nar mein aisa rup na tha jis rup se din ki dhup dabe is shahr mein kya kya gori hai mahtab-rukhe gulnar-labe [...] Continue Reading... Share on:
kabhi saya hai kabhi dhup muqaddar meraShayari By 10 Nov 2020 09:21:44 PMGhazalkabhi saya hai kabhi dhup muqaddar mera hota rahta hai yun hi qarz barabar mera tut jate hain kabhi mere kinare mujh mein dub jata hai kabhi mujh mein samundar mera [...] Continue Reading... Share on:
athar tumne ishq kiya kuchh tum bhi kaho kya haal huaShayari By 27 Oct 2020 09:21:44 PMGhazal'athar' tum ne ishq kiya kuchh tum bhi kaho kya haal hua koi naya ehsas mila ya sab jaisa ahwal hua ek safar hai wadi-e-jaan mein tere dard-e-hijr ke sath tera dard-e-hijr jo badh kar lazzat-e-kaif-e-visal hua [...] Continue Reading... Share on:
andeshaAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMNazmbaat niklegi to phir dur talak jaegi log be-wajh udasi ka sabab puchhenge ye bhi puchhenge ki tum itni pareshan kyun ho jagmagate hue lamhon se gurezan kyun ho ungliyan utthengi sukhe hue baalon ki taraf ek nazar dekhenge guzre hue salon ki taraf chudiyon par bhi kai tanz kiye jaenge kanpte hathon pe bhi fiqre kase jaenge phir kahenge ki hansi mein bhi khafa hoti hain ab to 'ruhi' ki namazen bhi qaza hoti hain log zalim hain har ek baat ka tana denge baaton baaton mein mera zikr bhi le aaenge in ki baaton ka zara sa bhi asar mat lena warna chehre ke tassur se samajh jaenge chahe kuchh bhi ho sawalat na karna un se mere bare mein koi baat na karna un se baat niklegi to phir dur talak jaegi Continue Reading... Share on: