tabish-e-khurshid nur-e-mah pani ki jhalak khanda-e-qulqul sada koyal ki ghunchon ki chatak larzish-e-simab bijli ki tadap shakhon ka loch aql ki tezi tabiat ki upach shaer ka soch iztirab-e-mauj kanton ki khalish nagan ke bal tir ki surat kaman ka ijz shamshiron ke phal aab moti ki chamak kundan ki hire ki damak ashrafi ka rup taksali mahasil ki khanak daman-e-kohsar ke manzar nawa-e-abshaar shor-e-dariya karwaten lahron ki sahil ka qarar zamzame ka itr kaif-e-naghma lai ki pukhtagi shorish-e-mai, laghzish-e-mai-nosh, josh-e-be-khudi aahu-e-ram-khurda ki wahshat kharare teziyan gae ki sanjidgi jugnu ki aatish-reziyan wadi-e-kashmir ki nuzhat gulon ka rang-o-bu sarw ka qad kabk ki raftar qamri ka gulu zulmat-e-sham-e-awadh subh-e-banaras ka nikhaar aagre ke taj ki azmat himala ka waqar somnati rifaten bhaarat ki tahzib-e-qadim patli-putra ki shohrat magdh ki shan-e-azim dil-paziri-e-azan dildari-e-naqus-e-dair sehan-e-masjid ka taqaddus partaw-e-fanus-e-dair harbhajan ka faiz husn-e-e'tiqad-e-barhaman kumbh ke mele ki zinat waqat-e-gang-o-jaman barbat o chang o sarod o arghanun ke zer-o-bam dil-kashi pardon ki aawazon ke jadu tal sam talkhi-e-anjam jab sab koshishen nakaam hon khushnuma sebon ki halki turshiyan jab kham hon dekh kar ye iqtibas-e-kar-gah-e-ins-o-jaan kar-pardazan-e-qudarat mein huin sargoshiyan ek bola imtizaj un ka qayamat saz hai dusra kahne laga khamosh koi raaz hai ye anasir ek muddat tak rahe garm-e-amal aakhiri tahrik-e-ismat se hue aapas mein hal subh-dam jab gosha gosha matla-e-anwar tha zarra zarra aalam-e-nairang ka sarshaar tha is murkkab ko usuli junbishen hone lagin ye hayula irtiqai manzilen tai kar gaya shah-par-e-parwaz iffat se bulandi par gaya e'tidal-e-unsuri par pa liya jab iqtidar ain-fitrat ke mutabiq shakl ki ek ikhtiyar aai aaza mein gudazi aur garmi jism mein aai rukhsaron pe surkhi aur narmi jism mein paya-e-takmil ko pahuncha junhi ye shahkar dast-e-qudrat ne tatoli nabz us ki bar bar bistar-e-nikhat pe ye putli jo mahw-e-khwab thi mast angdai ke hathon jag uthi sharma gai dekh kar shaer ne us ko nukta-e-hikmat kaha aur be-soche zamane ne use aurat kaha