maine dekha hai bahaaron mein chaman ko jalteShayari By 26 Jan 2021 12:30:00 PMShermain ne dekha hai bahaaron mein chaman ko jalte hai koi khwab ki tabir batane wala Continue Reading... Share on:
hasin naghma-sarao! bahaar ke din hainShayari By 26 Jan 2021 12:30:00 PMGhazalhasin naghma-sarao! bahaar ke din hain labon ki jot jalao! bahaar ke din hain takallufat ka mausam guzar gaya sahab! naqab rukh se uthao bahaar ke din hain [...] Continue Reading... Share on:
holiAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMMasnaviiaaj hai roz-e-wasant ai dostan sarw-qad hai bostan ke darmiyan bagh mein hai aish-o-ishrat raat din gul-rukhan bin nain guzarti ek din sab ke tan mein hai libas-e-kesri karte hain sad-barg sun lab ham-sari khub-ru sab ban rahe hain lal zard bagh ka bazar hai is waqt sard chand jaisa hai shafaq bhitar ayan chehra sab ka az-gulal aatish-fishan har chhabeli az-libas-e-kesari taza karti hai bahaare-e-jafri nachti ga ga ke holi dam-ba-dam jyun sabha indar ki dar bagh-e-iram az kabir-o-rang-e-kesar aur gulal abr chhaya hai safed-o-zard-o-lal jiyun jhadi har su hai pichkari ki dhaar daudti hain nariyan bijli ke sar josh-e-ishrat ghar-ba-ghar hai har taraf nachti hain sab takalluf-bar-taraf Continue Reading... Share on:
qissa ek basant kaAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMNazmpatangen lutne walon ko kya malum kis ke hath ka manjha khara tha aur kis ki dor halki thi unhen is se gharaz kya pench padte waqt kin hathon mein larza aa gaya tha aur kis ki khench achchhi thi? hawa kis ki taraf thi, kaun si pali ki bairi thi? patangen lutne walon ko kya malum? unhen to bas basant aate hi apni apni dangen le ke maidanon mein aana hai gali-kuchon mein kanti marna hai patangen lutna hai lut ke jauhar dikhana hai patangen lutne walon ko kya malum kis ke hath ka manjha khara tha aur kis ki dor halki thi? Continue Reading... Share on:
basanti taranaAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMNazmlo phir basant aai phulon pe rang lai chalo be-darang lab-e-ab-e-gang baje jal-tarang man par umang chhai phulon pe rang lai lo phir basant aai aafat gai khizan ki qismat phiri jahan ki chale mai-gusar su-e-lala-zar ma-e-parda-dar shishe ke dar se jhanki qismat phiri jahan ki aafat gai khizan ki kheton ka har charinda baghon ka har parinda koi garm-khez koi naghma-rez subuk aur tez phir ho gaya hai zinda baghon ka har parinda kheton ka har charinda dharti ke bel-bute andaz-e-nau se phute hua bakht sabz mila rakht sabz hain darakht sabz ban ban ke sabz nikle andaz-e-nau se phute dharti ke bel-bute phuli hui hai sarson bhuli hui hai sarson nahin kuchh bhi yaad yunhi ba-murad yunhi shad shad goya rahegi barson bhuli hui hai sarson phuli hui hai sarson ladkon ki jang dekho dor aur patang dekho koi mar khae koi khilkhilae koi munh chidhae tifli ke rang dekho dor aur patang dekho ladkon ki jang dekho hai ishq bhi junun bhi masti bhi josh-e-khun bhi kahin dil mein dard kahin aah-e-sard kahin rang-e-zard hai yun bhi aur yun bhi masti bhi josh-e-khun bhi hai ishq bhi junun bhi ek naznin ne pahne phulon ke zard gahne hai magar udas nahin pi ke pas gham-o-ranj-o-yas dil ko pade hain sahne ek naznin ne pahne phulon ke zard gahne Continue Reading... Share on:
basant aur holi ki bahaarAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMNazmsaqi kuchh aaj tujh ko khabar hai basant ki har su bahaar pesh-e-nazar hai basant ki sarson jo phul utthi hai chashm-e-qayas mein phule-phale shamil hain basanti libas mein patte jo zard zard hain sone ke pat hain sadbarg se talai kiran phul mat hain hain chudiyon ki jod basanti kalai mein ban ke bahaar aai hai dast-e-hinai mein masti bhare dilon ki umangen na puchhiye kya mantiqen hain kya hain tarangen na puchhiye mathe pe husn-khez hai jalwa gulal ka bindi se auj par hai sitara jamal ka gendon se mail-e-gul-e-bazi hasin hain sar ke ubhaar par se dupatte mahin hain aks-e-naqab zinat-e-rukhsar ho gaya zewar jo sim ka tha tala-kar ho gaya sarson ke lahlahate hain khet is bahaar mein nargis ke phul phul uthe lala-zar mein aawaz hai papihon ki masti bhari hui tuti ke bol sun ke tabiat hari hui koyal ke jode karte hain chuhlen surur se aate hain tan udate hue dur dur se baur aam ke hain yun chaman-e-kaenat mein moti ke jaise guchchhe hon zar-kar pat mein bheron ki gunj mast hai har kisht-zar mein bansi bajate kishn hai goya bahaar mein kesar kusum ki khub dil-afza bahaar hai gendon ki har chaman mein do-ruya qatar hai ek aag si lagai hai tesu ne phul ke kya zard zard phul khile hain babul ke hai ist dewtao ke mandir saje hue hain zard zard phulon se kul dar saje hue bas dew-ji ke lal ki jhanki ajib hai aanand be-hisab dilon ko nasib hai bansi jadaw sone ki lab se mili hui dil ki kali kali hai nazar mein khili hui pitambar nafis kamar mein kasa hua khushbu se haar phul ki mandir basa hua shanon pe bal pade hue zulf-e-siyah ke radha se bar bar ishaare nigah ke banki adaen dekh ke dil lot-pot hai rutkaam istiri ke kaleje pe chot hai kanon mein kunlon ki chamak hai jadaw se radha lajai jati hai chanchal subhaw se pyari ka hath apni baghal mein liye hue aankhen sharab-e-husn-e-jawani piye hue dil radhika ka baada-e-ulfat se chur hai kuhni se thelne ki ada ka zuhur hai chupki khadi hai kishn ke rukh par nigah hai hai pahlu-e-jigar mein jagah dil mein rah hai ulfat bhari jo bansi ki jaanib nazar gai goya basant ki rag ki dhun mast kar gai is chhab pe is singar pe dil se nisar 'ufuq' qurban ek bar nahin lakh bar 'ufuq' ai kishn nazirin ko mubarak basant ho khela jo apne wo abad tak basant ho Continue Reading... Share on: