hamara des

Shayari By

jag se bhala sansar se pyara
dil ki thandak aankh ka tara

sab se anokha sab se nyara
duniya ke jine ka sahaara [...]

watan ka rag

Shayari By

bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai
har rut har mausam is ka kaisa pyara pyara hai

kaisa suhana kaisa sundar pyara desh hamara hai
dukh mein sukh mein har haalat mein bhaarat dil ka sahaara hai [...]

tarana-e-watan

rashk-e-firdaus hai tera rangin chaman
tujh pe gul-bash karte hain koh-o-daman
tere mathe ki rekha hain gang-o-jaman
teri mitti mein khwabida hain fikr-o-fan
fakhr-e-yunan thi teri bazm-e-kuhan
mere hindustan mere pyare watan
dewtaon ki rishiyon ki ye sarzamin
zarra zarra teri khak ka hai hasin
chumta hai qamar roz teri jabin
tere jalwe na hon kis liye dil-nashin
tere zarre mein khurshid ki hai kiran
mere hindustan mere pyare watan
tere qadmon ki zinat hai godawari
hai himala ka parbat tera santari
hai haqiqat mein kashmir jannat teri
zarre zarre mein tere hai ek zindagi
desh ki shan hai taj ka bankpan
mere hindustan mere pyare watan
kis bala ki kashish tere kharon mein hai
auj firdaus pinhan bahaaron mein hai
ek naya bankpan kohsaron mein hai
dilkashi kis qadar chand taron mein hai
hai zamane se aala teri anjuman
mere hindustan mere pyare watan
mera mandir hai tu mera kaba hai tu
mera malja hai tu mera mawa hai tu
meri uqba hai tu meri duniya hai tu
mera hai saz-e-dil mera naghma hai tu
meri har sans tere liye naghma-zan
mere hindustan mere pyare watan
sab ko ulfat ke markaz pe launga main
ekta ka diya phir jalaunga main
apne hathon watan ko sajaunga main
prem ke git har waqt gaunga main
is tarah ka banaunga main sangthan
mere hindustan mere pyare watan
khun se apne dunga tujhe zindagi
tere phulon ko dunga nirali khushi
zarre zarre ko bakhshunga main raushni
sab ko aisi sunaunga main ragni
shanti ki bahaunga gang-o-jaman
mere hindustan mere pyare watan

shikast-e-zindan ka KHwab

kya hind ka zindan kanp raha hai gunj rahi hain takbiren
uktae hain shayad kuchh qaidi aur tod rahe hain zanjiren
diwaron ke niche aa aa kar yun jama hue hain zindani
sinon mein talatum bijli ka aankhon mein jhalakti shamshiren
bhukon ki nazar mein bijli hai topon ke dahane thande hain
taqdir ke lab ko jumbish hai dam tod rahi hain tadbiren
aankhon mein gada ki surkhi hai be-nur hai chehra sultan ka
takhrib ne parcham khola hai sajde mein padi hain tamiren
kya un ko khabar thi zer-o-zabar rakhte the jo ruh-e-millat ko
ublenge zamin se mar-e-siyah barsengi falak se shamshiren
kya un ko khabar thi sinon se jo khun churaya karte the
ek roz isi be-rangi se jhalkengi hazaron taswiren
kya un ko khabar thi honton par jo qufl lagaya karte the
ek roz isi khamoshi se tapkengi dahakti taqriren
sambhlo ki wo zindan gunj utha jhapto ki wo qaidi chhut gae
uttho ki wo baithin diwaren daudo ki wo tuti zanjiren

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close