sachche watan-parast ka git

khauf-e-afat se kahan dil mein riya aaegi
baat sachchi hai jo wo lab pe sada aaegi
dil se niklegi na mar kar bhi watan ki ulfat
meri mitti se bhi khushbu-e-wafa aaegi
main utha lunga bade shauq se us ko sar par
khidmat-e-qaum-o-watan mein jo bala aaegi
samna sabr o shujaat se karunga main bhi
khinch ke mujh tak jo kabhi tegh-e-jafa aaegi
ghair zoam aur khudi se jo karega hamla
meri imdad ko khud zat-e-khuda aaegi
aatma hun main badal dalunga fauran chola
kya bigadegi agar meri qaza aaegi
khun roegi sama par mere marne pe shafaq
gham manane ke liye kali ghata aaegi
abr-e-tar ashk bahaega mere lashe par
khak udane ke liye baad-e-saba aaegi
zindagani mein to milne se jhijakti hai 'falak'
khalq ko yaad meri baad-e-fana aaegi

nau-jawan se

jalal-e-atish-o-barq-o-sahab paida kar
ajal bhi kanp uthe wo shabab paida kar
tere khiram mein hai zalzalon ka raaz nihan
har ek gam par ek inqalab paida kar
sada-e-tisha-e-mazdur hai tera naghma
tu sang-o-khisht se chang-o-rubab paida kar
bahut latif hai ai dost tegh ka bosa
yahi hai jaan-e-jahan is mein aab paida kar
tere qadam pe nazar aae mahfil-e-anjum
wo bankpan wo achhuta shabab paida kar
tera shabab amanat hai sari duniya ki
tu khar-zar-e-jahan mein gulab paida kar
sukun-e-khab hai be-dast-o-pa zaifi ka
tu iztirab hai khud iztirab paida kar
na dekh zohd ki tu ismat-e-gunah-alud
gunah mein fitrat-e-ismat-maab paida kar
tere jilau mein nai jannaten nae dozakh
nai jazaen anokhe azab paida kar
sharab khinchi hai sab ne gharib ke khun se
tu ab amir ke khun se sharab paida kar
gira de qasr-e-tamaddun ki ek fareb hai ye
utha de rasm-e-mohabbat azab paida kar
jo ho sake hamein pamal kar ke aage badh
jo ho sake to hamara jawab paida kar
bahe zamin pe jo mera lahu to gham mat kar
isi zamin se mahakte gulab paida kar
tu inqalab ki aamad ka intizar na kar
jo ho sake to abhi inqalab paida kar

KHidmat-e-watan

watan ki khidmat-e-be-laus hai har shakhs par lazim
yahi wo kaam hai jo aadmi ke kaam aata hai
laga di jati hai hubb-e-watan mein sar ki bazi bhi
ek aisa bhi wufur-e-josh mein hangam aata hai
palatne hi ko hai qismat tumhaari ai watan walo
tumhaare waste ye arsh se paigham aata hai
ghulami dur hoti hai tumhaari ab koi dam mein
hukumat aur sardari ka phir hangam aata hai
musibat hai ye bilkul aarzi is par na ghabrana
bas ab aata hai ahd-e-rahat-o-aram aata hai
wahi phir bhi bazm hogi phir wahi ranginiyan hongi
wahi paimana aata hai wahi phir jam aata hai
tum apni na-tawani se pareshan is qadar kyun ho
kabhi kamzor hona bhi bashar ke kaam aata hai
mita deta hai dam mein nakhwat-e-namrud ek machchhar
kabhi aisa bhi daur-e-gardish-e-ayyam aata hai
khuda-ra is niza-e-bahami ko khatm farma do
zara socho ki tum par kis qadar ilzam aata hai
kabhi chidta hai gar mazkur, qaumon ki jahaalat ka
to sab se pahle kanon mein tumhaara nam aata hai
ye nukta yaad rakkho us ko bhula kah nahin sakte
jo waqt-e-subh ja kar, ghar pe waqt-e-sham aata hai

KHak-e-hind

anjum se badh ke tera har zarra zau-fishan hai
jalwon se tere ab tak husn-e-azal ayan hai
andaz-e-dil-farebi jo tujh mein hai kahan hai
fakhr-e-zamana tu hai aur nazish-e-jahan hai
uftadgi mein bhi to ham-auj-e-asman hai
ai khak-e-hind teri azmat mein kya guman hai
wo kaj-kulah tere wo surwir tere
wo tegh-zan kaman-kash wo qila-gir tere
napaid aaj hain go taj-o-sarir tere
shahon se hain ziyaada lekin faqir tere
pasti mein sar-bulandi sab par teri ayan hai
ai khak-e-hind teri azmat mein kya guman hai
manzar wo jaan-faza hain aur dil-pazir tere
jaanen hain tujh pe shaida aur dil asir tere
shirin o saf dariya hain ju-e-shir tere
hain dasht-o-koh-o-sahra jannat-nazir tere
aankhen jidhar uthao firdaus ka saman hai
ai khak-e-hind teri azmat mein kya guman hai
tujh ko mita diya hai har-chand aasman ne
phunka hai aah dil ko soz-e-gham-e-nihan ne
chhodi na tab apni par husn-e-dil-sitan ne
jauhar bhare hain tujh mein sanna-e-do-jahan ne
fasl-e-khizan hai teri phir bhi tu gul-fishan hai
ai khak-e-hind teri azmat mein kya guman hai
go had se badh gaya hai ranj-o-malal tera
ab tak mita nahin hai naqsh-e-jamal tera
aakhir kabhi to hoga zahir kamal tera
hoga kabhi to aakhir daur-e-zawal tera
kab ek rawish pe qaem ye daur-e-asman hai
ai khak-e-hind teri azmat mein kya guman hai

KHak-e-hind

ai khak-e-hind teri azmat mein kya guman hai
dariya-e-faiz-e-qudarat tere liye rawan hai
tere jabin se nur-e-husn-e-azal ayan hai
allah-re zeb-o-zinat kya auj-e-izz-o-shan hai
har subh hai ye khidmat khurshid-e-pur-ziya ki
kirnon se gundhta hai choti himaliya ki
is khak-e-dil-nashin se chashme hue wo jari
chin o arab mein jin se hoti thi aabiyari
sare jahan pe jab tha wahshat ka abr tari
chashm-o-charagh-e-alam thi sar-zamin hamari
sham-e-adab na thi jab yunan ki anjuman mein
taban tha mahr-e-danish is wadi-e-kuhan mein
'gautum' ne aabru di is mabad-e-kuhan ko
'sarmad' ne is zamin par sadqe kiya watan ko
'akbar' ne jam-e-ulfat bakhsha is anjuman ko
sincha lahu se apne 'rana' ne is chaman ko
sab surbir apne is khak mein nihan hain
tute hue khandar hain ya un ki haddiyan hain
diwar-o-dar se ab tak un ka asar ayan hai
apni ragon mein ab tak un ka lahu rawan hai
ab tak asar mein dubi naqus ki fughan hai
firdaus-e-gosh ab tak kaifiyyat-e-azan hai
kashmir se ayan hai jannat ka rang ab tak
shaukat se bah raha hai dariya-e-gang ab tak
agli si tazgi hai phulon mein aur phalon mein
karte hain raqs ab tak taus jangalon mein
ab tak wahi kadak hai bijli ki baadalon mein
pasti si aa gai hai par dil ke hauslon mein
gul sham-e-anjuman hai go anjuman wahi hai
hubb-e-watan wahi hai khak-e-watan wahi hai
barson se ho raha hai barham saman hamara
duniya se mit raha hai nam-o-nishan hamara
kuchh kam nahin ajal se khwab-e-giran hamara
ek lash-e-be-kafan hai hindostan hamara
ilm-o-kamal o iman barbaad ho rahe hain
aish-o-tarab ke bande ghaflat mein so rahe hain
ai sur-e-hubb-e-qaumi is khwab se jaga de
bhula hua fasana kanon ko phir suna de
murda tabiaton ki afsurdagi mita de
uthte hue sharare is rakh se dikha de
hubb-e-watan samae aankhon mein nur ho kar
sar mein khumar ho kar dil mein surur ho kar
shaida-e-bostan ko sarw-o-saman mubarak
rangin tabiaton ko rang-e-sukhan mubarak
bulbul ko gul mubarak gul ko chaman mubarak
hum be-kason ko apna pyara watan mubarak
ghunche hamare dil ke is bagh mein khilenge
is khak se uthe hain is khak mein milenge
hai ju-e-shir hum ko nur-e-sahar watan ka
aankhon ki raushni hai jalwa is anjuman ka
hai rashk-e-mahr zarra is manzil-e-kuhan ka
tulta hai barg-e-gul se kanta bhi is chaman ka
gard-o-ghubar yan ka khilat hai apne tan ko
mar kar bhi chahte hain khak-e-watan kafan ko

jashn-e-azadi

barq-raftari pe apni rashk karta tha jahan
su-e-azadi hamara qafila tha tez-gam
sikhna hai lekin ab mai-khana-e-tamir mein
jumbish-e-nabz-e-tamanna o khiram-e-daur-e-jam
manzil-e-maqsud tak ye qaum ja sakti nahin
jis ke qabze mein nahin asp-e-siyasat ki lagam
hum ko bachna chahiye har us bure iqdam se
jis se ho matun duniya mein watan ka nek nam
ittihad o aashti har dam rahen pesh-e-nazar
ja-guzin dil mein rahe zauq-e-amal bil-iltizam
daur-e-azadi ka gauhar aish hai aish-e-halal
dil ye kahta hai ki yun paband hona hai haram
dil ki talqinat par pahle amal farmaiye
shauq se phir jashn-e-azadi manate jaiye
aish ke saman bhi hon aur farz ka ehsas bhi
jashn bhi ho gham-zadon ki naz-bardari bhi ho
dakhil-e-adab-e-mai-noshi ho saqi ka adab
mastiyan hon mastiyon ke sath hushyari bhi ho
kuchh piyen aur kuchh bachaen tishna-kaamon ke liye
sadgi ka naz bhi andaz-e-purkari bhi ho
haal ki khatir khirad-koshi hai mustahsan magar
bahr-e-mustaqbil junun-e-zauq-e-bedari bhi ho
narm-raftari ho waqt-e-sair-e-gulzar-e-tarab
rah-e-pur-khar-e-amal mein garm-raftari bhi ho
is khushi ke waqt kitne dil hain gham se paemal
lutf aa jae agar in sab ki gham-khwari bhi ho
rone walon ki hansi ko pahle wapas laiye
shauq se phir jashn-e-azadi manate jaiye

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close