bhaarat ke saputon se KHitab

bhaarat ke ai saputo himmat dikhae jao
duniya ke dil pe apna sikka bithae jao
murda-dili ka jhanda phenko zamin par tum
zinda-dili ka har-su parcham udae jao
lao na bhul kar bhi dil mein khayal-e-pasti
khush-haali-e-watan ka beda uthae jao
tan-man mitae jao tum nam-e-qaumiyat par
rah-e-watan mein apni jaanen ladae jao
kam-himmati ka dil se nam-o-nishan mita do
jurat ka lauh-e-dil par naqsha jamae jao
ai hinduo musalman aapas mein in dinon tum
nafrat ghatae jao ulfat badhae jao
'bikram' ki raj-niti 'akbar' ki policy ki
sare jahan ke dil par azmat bithae jao
jis kashmakash ne tum ko hai is qadar mitaya
tum se ho jis qadar tum us ko mitae jao
jin khana-jangiyon ne ye din tumhein dikhae
ab un ki yaad apne dil mein bhulae jao
be-khauf gae jao hindostan hamara
aur wande-mataram ke nare lagae jao
jin desh sewakon se hasil hai faiz tum ko
in desh sewakon ki jai jai manae jao
jis mulk ka ho khate din raat aab-o-dana
us malak par saron ki bhenten chadhae jao
phansi ka jail ka dar dil se 'falak' mita kar
ghairon ke munh pe sachchi baaten sunate jao

aazadi-e-watan

kaho hindostan ki jai
kaho hindostan ki jai
qasam hai khun se sinche hue rangin gulistan ki
qasam hai khun-e-dahqan ki qasam khun-e-shahidan ki
ye mumkin hai ki duniya ke samundar khushk ho jaen
ye mumkin hai ki dariya bahte bahte thak ke so jaen
jalana chhod den dozakh ke angare ye mumkin hai
rawani tark kar den barq ke dhaare ye mumkin hai
zamin-e-pak ab napakiyon ko dho nahin sakti
watan ki sham-e-azadi kabhi gul ho nahin sakti
kaho hindostan ki jai
kaho hindostan ki jai
wo hindi naujawan yani alam-bardar-e-azadi
watan ki pasban wo tegh-e-jauhar-dar-e-azadi
wo pakiza sharara bijliyon ne jis ko dhoya hai
wo angara ki jis mein zist ne khud ko samoya hai
wo sham-e-zindagani aandhiyon ne jis ko pala hai
ek aisi naw tufanon ne khud jis ko sambhaala hai
wo thokar jis se giti larza-bar-andam rahti hai
wo dhaara jis ke sine par amal ki naw bahti hai
chhupi khamosh aahen shor-e-mahshar ban ke nikli hain
dabi chingariyan khurshid-e-khawar ban ke nikli hain
badal di naujawan-e-hind ne taqdir zindan ki
mujahid ki nazar se kat gai zanjir zindan ki
kaho hindostan ki jai
kaho hindostan ki jai
kaho hindostan ki jai

aaj

sathiyo! main ne barson tumhaare liye
chand taron bahaaron ke sapne bune
husn aur ishq ke git gata raha
aarzuon ke aiwan sajata raha
main tumhaara mughanni tumhaare liye
jab bhi aaya nae git lata raha
aaj lekin mere daman-e-chaak mein
gard-e-rah-e-safar ke siwa kuchh nahin
mere barbat ke sine mein naghmon ka dam ghut gaya
tanen chikhon ke ambar mein dab gai hain
aur giton ke sur hichkiyan ban gae hain
main tumhaara mughanni hun naghma nahin hun
aur naghme ki takhliq ka saz-o-saman
sathiyo! aaj tum ne bhasm kar diya hai
aur main apna tuta hua saz thame
sard lashon ke ambar ko tak raha hun
mere chaaron taraf maut ki wahshaten nachti hain
aur insan ki haiwaniyat jag uthi hai
barbariyat ke khun-khar ifrit
apne napak jabdon ko khole
khun pi pi ke ghurra rahe hain
bachche maon ki godon mein sahme hue hain
ismaten sar-barahana pareshan hain
har taraf shor-e-ah-o-buka hai
aur main is tabahi ke tufan mein
aag aur khun ke haijaan mein
sar-nigun aur shikasta makanon ke malbe se pur raston par
apne naghmon ki jholi pasare
dar-ba-dar phir raha hun
mujh ko amn aur tahzib ki bhik do
mere giton ki lai mera sur meri nai
mere majruh honton ko phir saunp do
sathiyo! main ne barson tumhaare liye
inqalab aur baghawat ke naghme alape
ajnabi raj ke zulm ki chhanw mein
sarfaroshi ke khwabida jazbe ubhaare
aur us subh ki rah dekhi
jis mein is mulk ki ruh aazad ho
aaj zanjir-e-mahkumiyat kat chuki hai
aur is mulk ke bahr-o-bar baam-o-dar
ajnabi qaum ke zulmat-afshan pharere ki manhus chhanw se aazad hain
khet sona ugalne ko bechain hain
wadiyan lahlahane ko betab hain
kohsaron ke sine mein haijaan hai
sang aur khisht be-khwab wa bedar hain
un ki aaankhon mein tamir ke khwab hain
un ke khwabon ko takmil ka rup do
mulk ki wadiyan ghatiyan khetiyan
aurten bachchiyan
hath phailae khairaat ki muntazir hain
in ko amn aur tahzib ki bhik do
maon ko un ke honton ki shadabiyan
nanhe bachchon ko un ki khushi bakhsh do
mulk ki ruh ko zindagi bakhsh do
mujh ko mera hunar meri lai bakhsh do
aaj sari faza hai bhikari
aur main is bhikari faza mein
apne naghmon ki jholi pasare
dar-ba-dar phir raha hun
mujh ko phir mera khoya hua saz do
main tumhaara mughanni tumhaare liye
jab bhi aaya nae git lata rahunga

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close