pahle nahai os mein phir aansuon mein raat

pahle nahai os mein phir aansuon mein raat
yun bund bund utri hamare gharon mein raat
kuchh bhi dikhai deta nahin dur dur tak
chubhti hai suiyon ki tarah jab ragon mein raat
wo khurduri chatanen wo dariya wo aabshaar
sab kuchh samet le gai apne paron mein raat
aankhon ko sab ki nind bhi di khwab bhi diye
hum ko shumar karti rahi dushmanon mein raat
be-samt manzilon ne bulaya hai phir hamein
sannate phir bichhane lagi raston mein raat

lamhe lamhe ki na-rasai hai

lamhe lamhe ki na-rasai hai
zindagi haalat-e-judai hai
mard-e-maidan hun apni zat ka main
main ne sab se shikast khai hai
ek ajab haal hai ki ab us ko
yaad karna bhi bewafai hai
ab ye surat hai jaan-e-jaan ki tujhe
bhulne mein meri bhalai hai
khud ko bhula hun us ko bhula hun
umr bhar ki yahi kamai hai
main hunar-mand-e-rang hun main ne
khun thuka hai dad pai hai
jaane ye tere wasl ke hangam
teri furqat kahan se aai hai

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close