man hai resham ke kar-khane mein bap masruf suti mill mein hai kokh se man ki jab se nikla hai bachcha kholi ke kale dil mein hai jab yahan se nikal ke jaega kar-khanon ke kaam aaega apne majbur pet ki khatir bhuk sarmae ki badhaega hath sone ke phul uglenge jism chandi ka dhan lutaega khidkiyan hongi bank ki raushan khun us ka diye jalaega ye jo nanha hai bhola-bhaala hai sirf sarmae ka niwala hai puchhti hai ye us ki khamoshi koi mujh ko bachane wala hai