kaha maine meri aankhon mein pani haiShayari By 26 Jan 2021 12:30:00 PMGhazalkaha main ne meri aankhon mein pani hai jawab aaya mohabbat ki nishani hai kaha main ne lagi dil ki bujhani hai jawab aaya ye jazba jawedani hai [...] Continue Reading... Share on:
main boli tere lab par hai hansi meriShayari By 13 Nov 2020 01:33:00 PMGhazalmain boli tere lab par hai hansi meri wo bola mat badhao bekali meri main boli shahzade mol kya mera wo bola shahzadi zindagi meri [...] Continue Reading... Share on:
bola hain rang kitne zamane ke aur bhiShayari By 29 Oct 2020 06:49:03 PMGhazalbola hain rang kitne zamane ke aur bhi us ne kaha hain bhed batane ke aur bhi bola tumhaare dil mein mohabbat ne ghar kiya main ne kaha hain rog lagane ke aur bhi [...] Continue Reading... Share on:
kaha taKHliq-e-fan bole bahut dushwar to hogiShayari By 26 Jan 2021 12:30:00 PMGhazalkaha takhliq-e-fan bole bahut dushwar to hogi kaha makhluq bole bais-e-azar to hogi kaha: hum kya karen is ahd-e-na-pursan mein kuchh kahiye wo bole koi aakhir surat-e-izhaar to hogi [...] Continue Reading... Share on:
shaer-e-azamAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMNazmkal ek adib o shaer o naqid mile hamein kahne lage ki aao zara bahs hi karen karne lage ye bahs ki ab hind o pak mein wo kaun hai ki shaer-e-azam jise kahen main ne kaha 'jigar' to kaha dead ho chuke main ne kaha ki 'josh' kaha qadr kho chuke main ne kaha 'firaq' ki azmat pe tabsira bole 'firaq' shaer-e-azam ara-rara main ne kaha 'nadim' to bole ki journalist main ne kaha 'rais' to bole satirist main ne kaha ki hazrat-e-'mahir' bhi khub hain kahne lage ki un ke yahan bhi uyub hain main ne kaha kuchh aur to bole ki chup raho main chup raha to kahne lage aur kuchh kaho main ne kaha ki 'sahir' o 'majruh' o jaan-nisar bole ki shairon mein na kije inhen shumar main ne kaha kalam-e-'rawish' la-jawab hai kahne lage ki un ka tarannum kharab hai main ne kaha tarannum-e-'anwar' pasand hai kahne lage ki un ka watan deoband hai main ne kaha ki un ki ghazal saf-o-pak hai bole ki un ki shakl badi khaufnak hai main ne kaha ki ye jo hain 'mahshar'-inayati? kahne lage ki rang hai un ka riwayati main ne kaha 'qamar' ka taghazzul hai dil-nashin kahne lage ki un mein to kuchh jaan hi nahin main ne kaha 'niyaz' to bole ki aib hain main ne kaha 'surur' to bole ki nukta-chin main ne kaha 'zarif' to bole ki gandagi main ne kaha 'salam' to bole ki bandagi main ne kaha 'faraaz' to bole ki zer-o-bam main ne kaha 'adam' to kaha wo bhi kal-adam main ne kaha 'khumar' kaha fan mein kachche hain main ne kaha ki 'shad' to bole ki bachche hain main ne kaha ki tanz-nigaron mein dekhiye bole ki saikadon mein hazaron mein dekhiye main ne kaha ki shaer-e-azam hain 'jafari' kahne lage ki aap ki hai un se dosti main ne kaha ki ye jo hain 'mahshar'-inayati kahne lage ki aap hain un ke himayati main ne kaha 'zamir' ke hiyumar mein fikr hai bole ye kis ka nam liya kis ka zikr hai main ne kaha ki ye jo dilawar-figar hain bole ki wo to sirf zarafat-nigar hain main ne kaha mizah mein ek baat bhi to hai bole ki is ke sath khurafat bhi to hai main ne kaha to shaer-e-azam koi nahin kahne lage ki ye bhi koi lazmi nahin main ne kaha to kis ko mein shaer bada kahun kahne lage ki main bhi isi kashmakash mein hun payan-e-kar khatm hua jab ye tajziya main ne kaha huzur to bole ki shukriya Continue Reading... Share on:
aaina-dar-ainaAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMNazmis bar wo mila to ajab us ka rang tha alfaz mein tarang na lahja dabang tha ek soch thi ki bikhri hui khal-o-khat mein thi ek dard tha ki jis ka shahid ang ang tha ek aag thi ki rakh mein poshida thi kahin ek jism tha ki ruh se masruf-e-jang tha main ne kaha ki yar tumhein kya hua hai ye us ne kaha ki umr-e-rawan ki ata hai ye main ne kaha ki umr-e-rawan to sabhi ki hai us ne kaha ki fikr-o-nazar ki saza hai ye main ne kaha ki sochta rahta to main bhi hun us ne kaha ki aaina rakkha hua hai dekha to mera apna hi aks-e-jali tha wo wo shakhs main tha aur 'himayat-ali' tha wo Continue Reading... Share on: