mere dil ki rakh kured mat ise muskura ke hawa na deShayari By 26 Jan 2021 12:30:00 PMGhazalmere dil ki rakh kured mat ise muskura ke hawa na de ye charagh phir bhi charagh hai kahin tera hath jala na de nae daur ke nae khwab hain nae mausamon ke gulab hain ye mohabbaton ke charagh hain inhen nafraton ki hawa na de [...] Continue Reading... Share on:
KHwab mein aankhen jo talwon se malinShayari By 26 Jan 2021 12:30:00 PMSherkhwab mein aankhen jo talwon se malin bole uff uff panw mera chhil gaya Continue Reading... Share on:
allah-re us gul ki kalai ki nazakatShayari By 13 Nov 2020 10:18:42 PMSherallah-re us gul ki kalai ki nazakat bal kha gai jab bojh pada rang-e-hina ka Continue Reading... Share on:
abru na sanwara karo kaT jaegi ungliShayari By 23 Oct 2020 03:53:09 PMSherabru na sanwara karo kat jaegi ungli nadan ho talwar se khela nahin karte Continue Reading... Share on:
dhuan kaleje se mere nikla jala jo dil bas ki rashk kha karAdmin16 Dec 2017 02:53:11 PMGhazaldhuan kaleje se mere nikla jala jo dil bas ki rashk kha kar wo rashk ye tha ki ghair se tuk hansa tha chanchal misi laga kar faqat jo chitwan pe ghaur kije to wo bhi wo sehr hai ki jis ka karishma banda ghulam ghamza daghaen naukar fareb chaakar khiram ki hai wo tarz yaro ki jis mein niklen kai adaen qadam jo rakhna to tan ke rakhna jo phir uthana to dagmaga kar latak mein bandon ki dil jo aawe to khair bande hi us ko le len wagarna aawe to phir na chhode udhar se baala jhamak dikha kar majal kya hai jo du-badu ho nazar se koi nazar ladawe magar kisi ne jo us ko dekha to sau kharabi se chhup chhupa kar sune kisi ke na dard-e-dil ko wagar sune to jhidak ke us ko ye saf kah de to kya bala hai jo sar phiraata hai nahaq aa kar 'nazir' wo but hai dushman-e-jaan na miliyo us se tu dekh hargiz wagar mila to khuda hai hafiz bache hain hum bhi khuda khuda kar Continue Reading... Share on: