yunhi kisi ke dhyan mein apne aap mein gati do-pahrenShayari By 01 Nov 2020 01:13:21 AMGhazalyunhi kisi ke dhyan mein apne aap mein gati do-pahren narm gulabi jadon wali baal sukhati do-pahren sare ghar mein sham dhale tak khel wo dhup aur chhanw ka lappe patte kachche aangan mein lot lagati do-pahren [...] Continue Reading... Share on:
jis ki saundhi saundhi KHushbu aangan aangan palti thiShayari By 31 Oct 2020 05:22:55 AMGhazaljis ki saundhi saundhi khushbu aangan aangan palti thi us mitti ka bojh uthate jism ki mitti galti thi jis ko tap ke garm lihafon mein bachche so jate the dil ke chulhe mein har dam wo aag barabar jalti thi [...] Continue Reading... Share on:
dil ke sune sahn mein gunji aahaT kis ke panw kiShayari By 31 Oct 2020 05:21:29 AMGhazaldil ke sune sahn mein gunji aahat kis ke panw ki dhup-bhare sannate mein aawaz suni hai chhanw ki ek manzar mein sare manzar pas-manzar ho jaane hain ek dariya mein mil jaani hain lahren sab dariyaon ki [...] Continue Reading... Share on:
kale safed paron wala parinda aur meri ek shamShayari By 17 Nov 2020 02:08:05 PMNazmjab din dhal jata hai, suraj dharti ki ot mein ho jata hai aur bhidon ke chhatte jaisi bhin-bhin bazaron ki garmi, afra-tafri motor, bas, barqi railon ka hangama tham jata hai [...] Continue Reading... Share on:
ret par safar ka lamhaAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMNazmkabhi hum bhi khub-surat the kitabon mein basi khushbu ki surat sans sakin thi bahut se an-kahe lafzon se taswiren banate the parindon ke paron par nazm likh kar dur ki jhilon mein basne wale logon ko sunate the jo hum se dur the lekin hamare pas rahte the nae din ki masafat jab kiran ke sath aangan mein utarti thi to hum kahte the ammi titliyon ke par bahut hi khub-surat hain hamein mathe pe bosa do ki hum ko titliyon ke jugnuon ke des jaana hai hamein rangon ke jugnu raushni ki titliyan aawaz deti hain nae din ki masafat rang mein dubi hawa ke sath khidki se bulati hai hamein mathe pe bosa do hamein mathe pe bosa do Continue Reading... Share on:
pani mein aks aur kisi aasman ka haiAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMSherpani mein aks aur kisi aasman ka hai ye naw kaun si hai ye dariya kahan ka hai Continue Reading... Share on: